aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-safar

Ain Rashid

ham-safar

Ain Rashid

MORE BYAin Rashid

    ik safar shurūāt ho saktī hai

    tum agar haañ kaho tum agar haañ kaho

    shāh-rāhoñ meñ galiyoñ meñ bhaTkeñge ham

    koī manzil na ho na ho zād-e-safar

    koī manzil na ho na ho zād-e-safar

    ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar

    aur bunñe meñ tum ko mahārat to hai

    ḳhvāb bunte chaleñge

    Dagar se Dagar

    tum agar haañ kaho tum agar haañ kaho

    ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar

    talḳhiyāñ zindagī bikhar jā.eñgī

    aur parchhā.iyāñ bhī nazar ā.eñgī

    ġham simaT jā.egā

    raat kaḌve halāhil meñ ghul jā.egī

    tum agar haañ kaho tum agar haañ kaho

    ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar

    ek safar ki shuruat ho sakti hai

    tum agar han kaho tum agar han kaho

    shah-rahon mein galiyon mein bhaTkenge hum

    koi manzil na ho na ho zad-e-safar

    koi manzil na ho na ho zad-e-safar

    ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar

    aur bunne mein tum ko mahaarat to hai

    KHwab bunte chalenge

    Dagar se Dagar

    tum agar han kaho tum agar han kaho

    ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar

    talKHiyan zindagi ki bikhar jaengi

    aur parchhaiyan bhi nazar aaengi

    gham simaT jaega

    raat kaDwe halahil mein ghul jaegi

    tum agar han kaho tum agar han kaho

    ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar

    Source:

    Aabnoosi Khayal (Pg. 53)

    • Author: Ain Rashid
      • Publisher: Begam Naseem Khan
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now