aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindostani bachche ka git

Mohammad Shafiuddin Nayyar

hindostani bachche ka git

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    maiñ bachcha huuñ maiñ bachcha huuñ kabhī maiñ bhī baḌā hūñgā

    abhī se kaise batlā.ūñ ki is duniyā meñ kyā hūñgā

    maiñ bachpan se paḌhne aur likhne meñ lagā.ūñgā

    kabhī khelūñgā ḳhush ho kar kabhī paḌhne ko jā.ūñgā

    musībat kuchh bhī pesh aa jaa.e hargiz muñh na moḌūñgā

    uThūñ jis kaam ke karne ko puurā kar ke chhoḌūñgā

    maiñ is duniyā ke har ilm-o-hunar se āshnā ho kar

    bajā lā.ūñgā mulk aur qaum ḳhidmat baḌā ho kar

    maiñ apne sabr aur himmat se dukh par fat.h pā.ūñgā

    maiñ taklīfeñ uThā.ūñgā magar kuchh kar dikhā.ūñgā

    maiñ apne mulk qaumoñ ko aapas meñ milā dūñgā

    jo laḌte haiñ unheñ sharbat mohabbat pilā dūñgā

    musalmān aur hindū jain budh sikh aur īsā.ī

    mirī koshish se us din sab ke sab ho jā.eñge bhaa.ī

    ye saarī tāqateñ mil kar vatan ke kaam ā.eñgī

    na.ī ik ruuh is meñ phūñk kar is ko jilā.eñgī

    na.e sir se vatan ke dil meñ phir ik josh uTThegā

    sanā.at zarā.at tijārat hukūmat

    baḌhegī mulk raunaq baḌhegī is ābādī

    jidhar dekho udhar rāhat jidhar dekho udhar shādī

    huā aisā to 'nayyar' ham ḳhushī ke giit gā.eñge

    ġhulāmī ke zamāne kahānī bhuul jā.eñge

    main bachcha hun main bachcha hun kabhi main bhi baDa hunga

    abhi se kaise batlaun ki is duniya mein kya hunga

    main ji bachpan se paDhne aur likhne mein lagaunga

    kabhi khelunga KHush ho kar kabhi paDhne ko jaunga

    musibat kuchh bhi pesh aa jae hargiz munh na moDunga

    uThun jis kaam ke karne ko pura kar ke chhoDunga

    main is duniya ke har ilm-o-hunar se aashna ho kar

    baja launga mulk aur qaum ki KHidmat baDa ho kar

    main apne sabr aur himmat se dukh par fath paunga

    main taklifen uThaunga magar kuchh kar dikhaunga

    main apne mulk ki qaumon ko aapas mein mila dunga

    jo laDte hain unhen sharbat mohabbat ka pila dunga

    musalman aur hindu jain budh sikh aur isai

    meri koshish se us din sab ke sab ho jaenge bhai

    ye sari taqaten mil kar watan ke kaam aaengi

    nai ek ruh is mein phunk kar is ko jilaengi

    nae sir se watan ke dil mein phir ek josh uTThega

    sanaat ka zaraat ka tijarat ka hukumat ka

    baDhegi mulk ki raunaq baDhegi is ki aabaadi

    jidhar dekho udhar rahat jidhar dekho udhar shadi

    hua aisa to 'nayyar' hum KHushi ke git gaenge

    ghulami ke zamane ki kahani bhul jaenge

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now