aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

di gai hai

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    hameñ jo zindagī ga.ī hai

    barā-e-mehrbānī ga.ī hai

    samā.at chhīn kar ahal ḳhirad

    hameñ jaadū bayānī ga.ī hai

    mujhe likhne ko ik achchhā unvāñ

    mirī apnī kahānī ga.ī hai

    jo rāh-e-haq meñ jaañ dete haiñ un ko

    hayāt-e-jāvedānī ga.ī hai

    magar jo maut se Darte haiñ un ko

    vafāt-e-nā-gahānī ga.ī hai

    za.īfī meñ javānī ga.ī hai

    ghaḌī ik imtihānī ga.ī hai

    javānoñ ko jo tohfe meñ milī hai

    hameñ vo muñh-zabānī ga.ī hai

    badal hai kisī ne shervānī

    na.ī le kar purānī ga.ī hai

    javānoñ ko mubārak ho javānī

    hameñ to naujavānī ga.ī hai

    lagā.eñge vo aag ab bhāshanoñ se

    jinheñ jādū-bayānī ga.ī hai

    divāna 'ḳhvāh-maḳhvāh' bantā na kaise

    nikāh meñ ik divānī ga.ī hai

    hamein jo zindagi di gai hai

    bara-e-mehrbani di gai hai

    samaat chhin kar ahal KHirad ki

    hamein jadu bayani di gai hai

    mujhe likhne ko ek achchha sa unwan

    meri apni kahani di gai hai

    jo rah-e-haq mein jaan dete hain un ko

    hayat-e-jawedani di gai hai

    magar jo maut se Darte hain un ko

    wafat-e-na-gahani di gai hai

    zaifi mein jawani di gai hai

    ghaDi ek imtihani di gai hai

    jawanon ko jo tohfe mein mili hai

    hamein wo munh-zabani di gai hai

    badal di hai kisi ne sherwani

    nai le kar purani di gai hai

    jawanon ko mubarak ho jawani

    hamein to naujawani di gai hai

    lagaenge wo aag ab bhashanon se

    jinhen jadu-bayani di gai hai

    diwana 'KHwah-maKHwah' banta na kaise

    nikah mein ek diwani di gai hai

    Source:

    Ba Farz-e-muhal (Urud Poetry) (Pg. E-56 B-57)

    • Author: Ghaus Khah makhah Hyderabadi
      • Edition: 1992
      • Publisher: Qalam Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now