Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baaten karo

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    rāt-bhar iqrār bāteñ karo

    sub.h-dam inkār bāteñ karo

    uljhaneñ dil baḌhānī hoñ agar

    gesū-e-ḳhamdār bāteñ karo

    haiñ nigāheñ sair aur abrū kamāñ

    yaar bā-hathiyār bāteñ karo

    mah-vasho itne bure bhī ham nahīñ

    aao ham se pyaar bāteñ karo

    sirf pahlī ke din ai dosto

    saaz aur jhankār bāteñ karo

    dūsrī ko bach ga.e paise agar

    kūcha-o-bāzār bāteñ karo

    das talak chilllar agar baaqī rahe

    chaa.e par aḳhbār bāteñ karo

    biis aur ikkīs ko ahbāb se

    charḳh-e-nā-hanjār bāteñ karo

    qarz-e-hasana le ke tum untīs tak

    ghar ke kārobār bāteñ karo

    tiis ko bāteñ karo iktīs

    dil-e-bīmār bāteñ karo

    āḳhirī din ḳhuub ġhusse meñ raho

    hujjat-o-takrār bāteñ karo

    phir usī shab sub.h ummīd meñ

    mīThī mīThī pyaar bāteñ karo

    tum se ye kis ne kahā thā 'ḳhvāh-maḳhvāh'

    is tarah be-kār bāteñ karo

    raat-bhar iqrar ki baaten karo

    subh-dam inkar ki baaten karo

    uljhanen dil ki baDhani hon agar

    gesu-e-KHamdar ki baaten karo

    hain nigahen sair aur abru kaman

    yar ba-hathiyar ki baaten karo

    mah-washo itne bure bhi hum nahin

    aao hum se pyar ki baaten karo

    sirf pahli hi ke din ai dosto

    saz aur jhankar ki baaten karo

    dusri ko bach gae paise agar

    kucha-o-bazar ki baaten karo

    das talak chilllar agar baqi rahe

    chae par aKHbar ki baaten karo

    bis aur ikkis ko ahbab se

    charKH-e-na-hanjar ki baaten karo

    qarz-e-hasana le ke tum untis tak

    ghar ke karobar ki baaten karo

    tis ko baaten karo iktis ki

    ya dil-e-bimar ki baaten karo

    aaKHiri din KHub ghusse mein raho

    hujjat-o-takrar ki baaten karo

    phir usi shab subh ki ummid mein

    miThi miThi pyar ki baaten karo

    tum se ye kis ne kaha tha 'KHwah-maKHwah'

    is tarah be-kar ki baaten karo

    Source:

    Ba Farz-e-muhal (Urud Poetry) (Pg. E-32 B-33)

    • Author: Ghaus Khah makhah Hyderabadi
      • Edition: 1992
      • Publisher: Qalam Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now