aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle thi so ab bhi hai

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

pahle thi so ab bhi hai

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    hamesha tarah tañgī jo pahle thī vo ab bhī hai

    badan par ik phaTī luñgī jo pahle thī so ab bhī hai

    pareshānī se sar ke baal tak sab jhaḌ ga.e lekin

    purānī jeb meñ kañghī jo pahle thī so ab bhī hai

    idhar maiñ kasrat-e-aulād se lāġhar udhar un

    zabāñ par tursh-e-nārañgī jo pahle thī sau ab bhī hai

    banā hero se zero aur phir netā to kāñdhe par

    vahī ik shaal be-rañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    nahīñ hotī to achchhā thā magar firqa-parastoñ meñ

    vo yak-jihatī ham-āhañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    siyāsat meñ ta.assub daḳhl hone lagā jab se

    diloñ meñ aa ga.ī tañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    jinheñ jantā fikr-e-āfiyat meñ ghul ke marnā thā

    sehat un bhalī-chañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    libās-e-muḳhtasar meñ bhī tan-āsānī ke ḳhvāhāñ haiñ

    kareñ kyā aatmā nañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    zarūrat aman duniyā meñ pahle se ziyāda hai

    magar qīmat bahut mahñgī jo pahle thī so ab bhī hai

    ahinsā ke pas-e-parda bahut zoroñ pe tayyārī

    aman ke naam par jañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    huā hai aur na hogā kuchh asar mujh par za.īfī

    ḳhayāloñ meñ ye nairañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    zamāne chalan kyā pūchhte ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh se

    vahī raftār be-Dhañgī jo pahle thī so ab bhī hai

    hamesha ki tarah tangi jo pahle thi wo ab bhi hai

    badan par ek phaTi lungi jo pahle thi so ab bhi hai

    pareshani se sar ke baal tak sab jhaD gae lekin

    purani jeb mein kanghi jo pahle thi so ab bhi hai

    idhar main kasrat-e-aulad se laghar udhar un ki

    zaban par tursh-e-narangi jo pahle thi sau ab bhi hai

    bana hero se zero aur phir neta to kandhe par

    wahi ek shaal be-rangi jo pahle thi so ab bhi hai

    nahin hoti to achchha tha magar firqa-paraston mein

    wo yak-jihati ham-ahangi jo pahle thi so ab bhi hai

    siyasat mein tassub ka daKHl hone laga jab se

    dilon mein aa gai tangi jo pahle thi so ab bhi hai

    jinhen janta ki fikr-e-afiyat mein ghul ke marna tha

    sehat un ki bhali-changi jo pahle thi so ab bhi hai

    libas-e-muKHtasar mein bhi tan-asani ke KHwahan hain

    karen kya aatma nangi jo pahle thi so ab bhi hai

    zarurat aman ki duniya mein pahle se ziyaada hai

    magar qimat bahut mahngi jo pahle thi so ab bhi hai

    ahinsa ke pas-e-parda bahut zoron pe tayyari

    aman ke nam par jangi jo pahle thi so ab bhi hai

    hua hai aur na hoga kuchh asar mujh par zaifi ka

    KHayalon mein ye nairangi jo pahle thi so ab bhi hai

    zamane ka chalan kya puchhte ho 'KHwah-maKHwah' mujh se

    wahi raftar be-Dhangi jo pahle thi so ab bhi hai

    Source:

    Ba Farz-e-muhal (Urud Poetry) (Pg. E-50 B-51)

    • Author: Ghaus Khah makhah Hyderabadi
      • Edition: 1992
      • Publisher: Qalam Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now