huqqa pine wale ki yaad mein
vo din bhī kitne achchhe the
kabhī jab ghar ke āñgan meñ lage shahtūt ke nīche
mirī maañ jhāḌū detī thī
purānī chārpā.ī jhaaḌ kar phir se bichhātī thī
mire abbā ke huqqe kī chilam bhī jagmagātī thī
bahāreñ muskurātī
kahkashā.eñ raqs kartī thiiñ
maiñ ḳhud maañ se lipaT jaatā
ka.ī qasmeñ uThātā
ḳhud hī un ko bhuul bhī jaatā
vo din
maazī ke din kitne suhāne the
magar ab shahr ke apne masā.il haiñ
bahāreñ kho chukī haiñ
kahkashā.eñ bain kartī haiñ
na maañ zinda hai
aur na sahn meñ shahtūt kā paudā
na vo huqqa rahā baaqī
na huqqa piine vaale haiñ
wo din bhi kitne achchhe the
kabhi jab ghar ke aangan mein lage shahtut ke niche
meri man jhaDu deti thi
purani chaarpai jhaD kar phir se bichhati thi
mere abba ke huqqe ki chilam bhi jagmagati thi
bahaaren muskuraati
kahkashaen raqs karti thin
main KHud man se lipaT jata
kai qasmen uThata
KHud hi un ko bhul bhi jata
wo din
mazi ke din kitne suhane the
magar ab shahr ke apne masail hain
bahaaren kho chuki hain
kahkashaen bain karti hain
na man zinda hai
aur na sahn mein shahtut ka pauda
na wo huqqa raha baqi
na huqqa pine wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.