Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iblis ki majlis-e-shura

Allama Iqbal

iblis ki majlis-e-shura

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    iblīs

    ye anāsir purānā khel ye duniyā-e-dūñ

    sākinān-e-arsh-e-āzam tamannāoñ ḳhuuñ

    is barbādī pe aaj āmāda hai vo kārsāz

    jis ne is naam rakhā thā jahān-e-kāf-o-nūñ

    maiñ ne dikhlāyā farañgī ko mulūkiyat ḳhvāb

    maiñ ne toḌā masjid-o-dair-o-kalīsā fusūñ

    maiñ ne nādāroñ ko sikhlāyā sabaq taqdīr

    maiñ ne mun.im ko diyā sarmāya daarī junūñ

    kaun kar saktā hai is ātish-e-sozāñ ko sard

    jis ke hañgāmoñ meñ ho iblīs soz-e-darūñ

    jis shāḳheñ hoñ hamārī ābiyārī se buland

    kaun kar saktā hai is naḳhl-e-kuhan ko sar-nigūñ

    pahlā mushīr

    is meñ kyā shak hai ki mohkam hai ye iblīsī nizām

    puḳhta-tar is se hue ḳhū-e-ġhulāmī meñ avaam

    hai azal se in ġharīboñ ke muqaddar meñ sujūd

    in fitrat taqāzā hai namāz-e-be-qayām

    aarzū avval to paidā ho nahīñ saktī kahīñ

    ho kahīñ paidā to mar jaatī hai rahtī hai ḳhaam

    ye hamārī sa.ī-e-paiham karāmat hai ki aaj

    sūfī-o-mullā mulūkiyyat ke bande haiñ tamām

    tab-e-mashriq ke liye mauzūñ yahī afyūn thī

    varna qavvālī se kuchh kam-tar nahīñ ilm-e-kalām

    hai tavāf-o-haj hañgāma agar baaqī to kyā

    kund ho kar rah ga.ī momin teġh-e-be-niyām

    kis nau-mīdī pe hujjat hai ye farmān-e-jadīd

    hai jihād is daur meñ mard-e-musalmāñ par harām

    dūsrā mushīr

    ḳhair hai sulatānī-e-jamhūr ġhauġhā ki shar

    jahāñ ke taaza fitnoñ se nahīñ hai bā-ḳhabar

    pahlā mushīr

    huuñ magar merī jahāñ-bīnī batātī hai mujhe

    jo mulūkiyat ik parda ho kyā is se ḳhatar

    ham ne ḳhud shāhī ko pahnāyā hai jamhūrī libās

    jab zarā aadam huā hai ḳhud-shanās-o-ḳhud-nigar

    kārobār-e-shahryārī haqīqat aur hai

    ye vajūd-e-mīr-o-sultāñ par nahīñ hai munhasir

    majlis-e-millat ho parvez darbār ho

    hai vo sultāñ ġhair khetī pe ho jis nazar

    ne kyā dekhā nahīñ maġhrib jamhūrī nizām

    chehra raushan andarūñ chañgez se tārīk-tar

    tīsrā mushīr

    rūh-e-sultānī rahe baaqī to phir kyā iztirāb

    hai magar kyā is yahūdī sharārat javāb

    vo kalīm-e-be-tajallī vo masīh-e-be-salīb

    niist paiġhambar va-lekin dar baġhal dārad kitāb

    kyā batā.ūñ kyā hai kāfir nigāh-e-parda-soz

    mashriq-o-maġhrib qaumoñ ke liye roz-e-hisāb

    is se baḌh kar aur kyā hogā tabī.at fasād

    toḌ bandoñ ne āqāoñ ke ḳhemoñ tanāb

    chauthā mushīr

    toḌ is rūmat-ul-kubrā ke aivānoñ meñ dekh

    āl-e-ceaser ko dikhāyā ham ne phir ceaser ḳhvāb

    kaun bahr-e-rūm maujoñ se hai lipTā huā

    gaah bālad-chūñ-sanobar gaah nālad-chūñ-rubāb

    tīsrā mushīr

    maiñ to is āqibat-bīnī kuchh qaa.il nahīñ

    jis ne afrañgī siyāsat ko kyā yuuñ be-hijāb

    pāñchvāñ mushīr iblīs ko muḳhātab kar ke

    ai tire soz-e-nafas se kār-e-ālam ustuvār

    ne jab chāhā kiyā har pardagī ko āshkār

    āb-o-gil terī harārat se jahān-e-soz-o-sāz

    ablah-e-jannat tirī ta.alīm se dānā-e-kār

    tujh se baḌh kar fitrat-e-ādam vo mahram nahīñ

    sāda-dil bandoñ meñ jo mash.hūr hai parvardigār

    kaam thā jin faqat taqdīs-o-tasbīh-o-tavāf

    terī ġhairat se abad tak sar-nigūñ-o-sharmsār

    garche haiñ tere murīd afrañg ke sāhir tamām

    ab mujhe un farāsat par nahīñ hai e'tibār

    vo yahūdī fitna-gar vo rūh-e-mazdak burūz

    har qabā hone ko hai is ke junūñ se taar taar

    zaaġh dashtī ho rahā hai ham-sar-e-shāhīn-o-charġh

    kitnī sur.at se badaltā hai mizāj-e-rozgār

    chhā ga.ī āshufta ho kar vus.at-e-aflāk par

    jis ko nādānī se ham samjhe the ik musht-e-ġhubār

    fitna-e-fardā haibat ye aalam hai ki aaj

    kāñpte haiñ kohsār-o-murġh-zār-o-jūebār

    mere aaqā vo jahāñ zer-o-zabar hone ko hai

    jis jahāñ hai faqat terī siyādat par madār

    iblis

    ye anasir ka purana khel ye duniya-e-dun

    sakinan-e-arsh-e-azam ki tamannaon ka KHun

    is ki barbaadi pe aaj aamada hai wo karsaz

    jis ne is ka nam rakha tha jahan-e-kaf-o-nun

    main ne dikhlaya farangi ko mulukiyat ka KHwab

    main ne toDa masjid-o-dair-o-kalisa ka fusun

    main ne nadaron ko sikhlaya sabaq taqdir ka

    main ne munim ko diya sarmaya dari ka junun

    kaun kar sakta hai is ki aatish-e-sozan ko sard

    jis ke hangamon mein ho iblis ka soz-e-darun

    jis ki shaKHen hon hamari aabiyari se buland

    kaun kar sakta hai is naKHl-e-kuhan ko sar-nigun

    pahla mushir

    is mein kya shak hai ki mohkam hai ye iblisi nizam

    puKHta-tar is se hue KHu-e-ghulami mein awam

    hai azal se in gharibon ke muqaddar mein sujud

    in ki fitrat ka taqaza hai namaz-e-be-qayam

    aarzu awwal to paida ho nahin sakti kahin

    ho kahin paida to mar jati hai ya rahti hai KHam

    ye hamari sai-e-paiham ki karamat hai ki aaj

    sufi-o-mulla mulukiyyat ke bande hain tamam

    tab-e-mashriq ke liye mauzun yahi afyun thi

    warna qawwali se kuchh kam-tar nahin ilm-e-kalam

    hai tawaf-o-haj ka hangama agar baqi to kya

    kund ho kar rah gai momin ki tegh-e-be-niyam

    kis ki nau-midi pe hujjat hai ye farman-e-jadid

    hai jihad is daur mein mard-e-musalman par haram

    dusra mushir

    KHair hai sulatani-e-jamhur ka ghaugha ki shar

    tu jahan ke taza fitnon se nahin hai ba-KHabar

    pahla mushir

    hun magar meri jahan-bini batati hai mujhe

    jo mulukiyat ka ek parda ho kya is se KHatar

    hum ne KHud shahi ko pahnaya hai jamhuri libas

    jab zara aadam hua hai KHud-shanas-o-KHud-nigar

    karobar-e-shahryari ki haqiqat aur hai

    ye wajud-e-mir-o-sultan par nahin hai munhasir

    majlis-e-millat ho ya parwez ka darbar ho

    hai wo sultan ghair ki kheti pe ho jis ki nazar

    tu ne kya dekha nahin maghrib ka jamhuri nizam

    chehra raushan andarun changez se tarik-tar

    tisra mushir

    ruh-e-sultani rahe baqi to phir kya iztirab

    hai magar kya is yahudi ki shararat ka jawab

    wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib

    nist paighambar wa-lekin dar baghal darad kitab

    kya bataun kya hai kafir ki nigah-e-parda-soz

    mashriq-o-maghrib ki qaumon ke liye roz-e-hisab

    is se baDh kar aur kya hoga tabiat ka fasad

    toD di bandon ne aaqaon ke KHemon ki tanab

    chautha mushir

    toD is ka rumat-ul-kubra ke aiwanon mein dekh

    aal-e-ceaser ko dikhaya hum ne phir ceaser ka KHwab

    kaun bahr-e-rum ki maujon se hai lipTa hua

    gah baalad-chun-sanobar gah nalad-chun-rubab

    tisra mushir

    main to is ki aaqibat-bini ka kuchh qail nahin

    jis ne afrangi siyasat ko kya yun be-hijab

    panchwan mushir iblis ko muKHatab kar ke

    ai tere soz-e-nafas se kar-e-alam ustuwar

    tu ne jab chaha kiya har pardagi ko aashkar

    aab-o-gil teri hararat se jahan-e-soz-o-saz

    ablah-e-jannat teri talim se dana-e-kar

    tujh se baDh kar fitrat-e-adam ka wo mahram nahin

    sada-dil bandon mein jo mashhur hai parwardigar

    kaam tha jin ka faqat taqdis-o-tasbih-o-tawaf

    teri ghairat se abad tak sar-nigun-o-sharmsar

    garche hain tere murid afrang ke sahir tamam

    ab mujhe un ki farasat par nahin hai e'tibar

    wo yahudi fitna-gar wo ruh-e-mazdak ka buruz

    har qaba hone ko hai is ke junun se tar tar

    zagh dashti ho raha hai ham-sar-e-shahin-o-chargh

    kitni surat se badalta hai mizaj-e-rozgar

    chha gai aashufta ho kar wusat-e-aflak par

    jis ko nadani se hum samjhe the ek musht-e-ghubar

    fitna-e-farda ki haibat ka ye aalam hai ki aaj

    kanpte hain kohsar-o-murgh-zar-o-juebar

    mere aaqa wo jahan zer-o-zabar hone ko hai

    jis jahan ka hai faqat teri siyaadat par madar

    RECITATIONS

    Allama Iqbal

    Allama Iqbal,

    Allama Iqbal

    iblis ki majlis-e-shura Allama Iqbal

    Source:

    Kulliyat-e-Iqbal (Pg. 539)

    • Author: Iqbal
      • Edition: 1993
      • Publisher: Dawat Offset Printers, Delhi-110006
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now