Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilm-e-sina

Abu Bakr Abbad

ilm-e-sina

Abu Bakr Abbad

MORE BYAbu Bakr Abbad

    abbu-jān aksar kahte the

    sach ko zarā mushkil aatī hai

    fat.h magar mil jaatī hai

    jaise bhī hālāt huuñ bad-tar

    kisī ke aage jhuknā mat

    zehn saudā karnā mat

    ammī kab pīchhe rahtī thiiñ

    vo bhī hamesha kahtī thiiñ

    beTā dīn-o-maz.hab ko aur umda aḳhlāq ko tum

    ammī jaan pyārā jaano lekin jhuuT aur makr fareb

    bad-ahdī aur dil-āzārī

    un se duurī rakhnā tum

    yaad haiñ mujh ko vo bāteñ bhī maktab meñ jo aaġhā the

    baḌe pyaar aur baḌī jatan se

    ujle kāġhaz jaise dil pe

    ham sab ke ye likhte the

    mehnat diyānat achchhī bātoñ jur.at aur haq-goī ko

    ilm hāsil merī izzat ghar vāloñ daulat samjho

    bhayyā jo kam kam dikhte the

    gaañv gaañv phirte rahte the

    gande-ma.de logoñ ko bhūke-nañge bachchoñ ko

    jaane kyā kyā sikhlāte the ham jaisā batlāte the

    nahīñ kisī se nafrat karnā āzādī pe jaañ de denā

    aur bhī kuchh kahte the vo

    ye sab bāteñ bachpan haiñ

    lekin ab to baap bhī huuñ maiñ

    maktab ke aaġhā tarah se bachchoñ ustāz bhī huuñ maiñ

    ammī jaan saarī bāteñ ab bhī mere zehn meñ haiñ

    bhayyā ke ādarshoñ ko kabhī bhulā na paayā maiñ

    par ab jo maiñ dekh rahā huuñ samāj meñ baste logoñ ko

    ammī abbū bātoñ jo jo natīja bhog rahā huuñ

    aaġhā ke anmol se motī dekh ke sab hañste haiñ log

    bhayyā ke ādarsh ko bhī sab marā marā kahte haiñ

    phir kaise ye saarī chīzeñ meñ apne bachchoñ ko duuñ

    aisī gahrī tārīkī meñ ammī abbū aaġhā ke

    haq aḳhlāq aur gyaan ke jugnū raushnī kyā phailā.eñge

    ghup añdhere ke ajgar

    chun chun ke unheñ khā jā.eñge

    jab jab sochtā huuñ ye sab

    dubidhā meñ paḌ jaatā huuñ

    tab haule se dil meñ utar kar

    ammī jaan rūh-e-muqaddas

    chup ke se kah jaatī hai

    beTe jab abbū ne maiñ ne

    bhayyā aur aaġhā sāhab ne

    apnī amānat thī tujh ko

    tab bhī aise log the baste

    tab bhī aisā ghup añdherā

    aisī tārīkī thī

    abbu-jaan aksar kahte the

    sach ko zara mushkil aati hai

    fath magar mil jati hai

    jaise bhi haalat hun bad-tar

    kisi ke aage jhukna mat

    zehn ka sauda karna mat

    ammi kab pichhe rahti thin

    wo bhi hamesha kahti thin

    beTa din-o-mazhab ko aur umda aKHlaq ko tum

    ammi jaan sa pyara jaano lekin jhuT aur makr fareb

    bad-ahdi aur dil-azari

    un se duri rakhna tum

    yaad hain mujh ko wo baaten bhi maktab mein jo aagha the

    baDe hi pyar aur baDi jatan se

    ujle kaghaz jaise dil pe

    hum sab ke ye likhte the

    mehnat diyanat achchhi baaton jurat aur haq-goi ko

    ilm ka hasil meri izzat ghar walon ki daulat samjho

    bhayya jo kam kam dikhte the

    ganw ganw phirte rahte the

    gande-made logon ko bhuke-nange bachchon ko

    jaane kya kya sikhlate the hum jaisa hi batlate the

    nahin kisi se nafrat karna aazadi pe jaan de dena

    aur bhi kuchh kahte the wo

    ye sab baaten bachpan ki hain

    lekin ab to bap bhi hun main

    maktab ke aagha ki tarah se bachchon ka ustaz bhi hun main

    ammi jaan ki sari baaten ab bhi mere zehn mein hain

    bhayya ke aadarshon ko kabhi bhula na paya main

    par ab jo main dekh raha hun samaj mein baste logon ko

    ammi abbu ki baaton ka jo jo natija bhog raha hun

    aagha ke anmol se moti dekh ke sab hanste hain log

    bhayya ke aadarsh ko bhi sab mara mara sa kahte hain

    phir kaise ye sari chizen mein apne bachchon ko dun

    aisi gahri tariki mein ammi abbu aagha ke

    haq aKHlaq aur gyan ke jugnu raushni kya phailaenge

    ya ghup andhere ke ajgar

    chun chun ke unhen kha jaenge

    jab jab sochta hun ye sab

    dubidha mein paD jata hun

    tab haule se dil mein utar kar

    ammi jaan ki ruh-e-muqaddas

    chup ke se kah jati hai

    beTe jab abbu ne main ne

    bhayya aur aagha sahab ne

    apni amanat di thi tujh ko

    tab bhi aise log the baste

    tab bhi aisa ghup andhera

    aisi hi tariki thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now