Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intibah

Atif tauqeer

intibah

Atif tauqeer

MORE BYAtif tauqeer

    sitam-nasībān-e-sarzamīñ ko payām pahuñchā diyā gayā hai

    nigūñ-sarī qayām hogā

    sabhī nigāheñ jhukī raheñgī

    har ek gardan pe teġh hogī

    har ek shah-rag pe hoñge nāḳhun

    ki shahar jab tak nigūñ na hogā

    kamān tab tak tanī rahegī

    hamārī aglī hidāyatoñ tak

    har ek jumbish thamī rahegī

    zamīn-zāde ki intibāh ḳhudā marzī samajh chuke haiñ

    so ab zabānoñ pe ḳhāmushī hai so ab muqaddar meñ gāliyāñ haiñ

    charāġh gum haiñ ki chāroñ jānib añdherī rātoñ āñdhiyāñ haiñ

    hamāre hisse meñ apne dukh par bhī qahqahe haiñ tāliyāñ haiñ

    sitam-nasiban-e-sarzamin ko payam pahuncha diya gaya hai

    nigun-sari ka qayam hoga

    sabhi nigahen jhuki rahengi

    har ek gardan pe tegh hogi

    har ek shah-rag pe honge naKHun

    ki shahar jab tak nigun na hoga

    kaman tab tak tani rahegi

    hamari agli hidayaton tak

    har ek jumbish thami rahegi

    zamin-zade ki intibah KHuda ki marzi samajh chuke hain

    so ab zabanon pe KHamushi hai so ab muqaddar mein galiyan hain

    charagh gum hain ki chaaron jaanib andheri raaton ki aandhiyan hain

    hamare hisse mein apne dukh par bhi qahqahe hain ya taliyan hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now