aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intishaar

Kaifi Azmi

intishaar

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    kabhī jumūd kabhī sirf intishār hai

    jahāñ ko apnī tabāhī intizār hai

    manū machhlī na kashti-e-nūh aur ye fazā

    ki qatre qatre meñ tūfān be-qarār hai

    maiñ kis ko apne garebāñ chaak dikhlā.ūñ

    ki aaj dāman-e-yazdāñ bhī taar taar hai

    sajā-sañvār ke jis ko hazār naaz kiye

    usī pe ḳhāliq-e-kaunain sharmsār hai

    tamām jism hai bedār fikr ḳhvābīda

    dimāġh pichhle zamāne yādgār hai

    sab apne paañv pe rakh rakh ke paañv chalte haiñ

    ḳhud apne dosh pe har aadmī savār hai

    jise pukāriye miltā hai ik khañDar se javāb

    jise bhī dekhiye maazī ishtihār hai

    huī to kaise bayābāñ meñ aa ke shaam huī

    ki jo mazār yahāñ hai mirā mazār hai

    koī to suud chukā.e koī to zimma le

    us inqalāb jo aaj tak udhār hai

    kabhi jumud kabhi sirf intishaar sa hai

    jahan ko apni tabahi ka intizar sa hai

    manu ki machhli na kashti-e-nuh aur ye faza

    ki qatre qatre mein tufan be-qarar sa hai

    main kis ko apne gareban ka chaak dikhlaun

    ki aaj daman-e-yazdan bhi tar tar sa hai

    saja-sanwar ke jis ko hazar naz kiye

    usi pe KHaliq-e-kaunain sharmsar sa hai

    tamam jism hai bedar fikr KHwabida

    dimagh pichhle zamane ki yaadgar sa hai

    sab apne panw pe rakh rakh ke panw chalte hain

    KHud apne dosh pe har aadmi sawar sa hai

    jise pukariye milta hai ek khanDar se jawab

    jise bhi dekhiye mazi ka ishtihaar sa hai

    hui to kaise bayaban mein aa ke sham hui

    ki jo mazar yahan hai mera mazar sa hai

    koi to sud chukae koi to zimma le

    us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 287)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now