jashn-e-azadi
bhīgī āñkheñ kahīñ aur bhiñchī muTThiyāñ haiñ kahīñ
hoñT dāñtoñ tale
kuchh Tahalte hue log haiñ muztarib
kuchh ne sar donoñ hāthoñ meñ thāme hue
rishta-dāroñ kī ik bhiiḌ hai
āñkheñ suujī huī baal bikhre hue
paTTiyāñ jism ke zaḳhm Dhāñpe hue
aur nazreñ emergency kī rāhdārī meñ darvāze kī samt uTThī huī
operation ke kamre se har āte-jāte
ke chehre ko āñkhoñ ko paḌhtī huī
thak ga.e haiñ magar koī jaatā nahīñ
bhiiḌ hai aur baḌhtī huī bhiiḌ hai
āte-jāte mu'ālij ke māthe pe zholīda shiknoñ kā baḌhtā huā jaal
surḳh āñkhoñ ko kuchh aur ḳhūñ-nāb kartā
aur gahrā huā jaatā hai
jo bhī jarrāh guzre
vo dastānoñ par ḳhuuñ ke dhabbe chhupātā huā
koī jhūTī tasallī thamā kar chalā jaatā hai
bhiiḌ baḌhtī huī aur baḌhtī huī
biitī sadiyoñ ko ḳhud meñ sameTe hue
goyā muddat se sāñsoñ ko roke hue hai
harf-e-mub.ham pe harf-e-tasallī pe taaza savāloñ
kā habs-e-girāñ aur baḌh jaatā hai
sochte sochte dam nikaltā chalā jaatā hai
bhigi aankhen kahin aur bhinchi muTThiyan hain kahin
honT danton tale
kuchh Tahalte hue log hain muztarib
kuchh ne sar donon hathon mein thame hue
rishta-daron ki ek bhiD hai
aankhen suji hui baal bikhre hue
paTTiyan jism ke zaKHm Dhanpe hue
aur nazren emergency ki rahdari mein darwaze ki samt uTThi hui
operation ke kamre se har aate-jate
ke chehre ko aankhon ko paDhti hui
thak gae hain magar koi jata nahin
bhiD hai aur baDhti hui bhiD hai
aate-jate mu'alij ke mathe pe zholida shiknon ka baDhta hua jal
surKH aankhon ko kuchh aur KHun-nab karta
aur gahra hua jata hai
jo bhi jarrah guzre
wo dastanon par KHun ke dhabbe chhupata hua
koi jhuTi tasalli thama kar chala jata hai
bhiD baDhti hui aur baDhti hui
biti sadiyon ko KHud mein sameTe hue
goya muddat se sanson ko roke hue hai
harf-e-mubham pe harf-e-tasalli pe taza sawalon
ka habs-e-giran aur baDh jata hai
sochte sochte dam nikalta chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.