Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jila-watan ki wapsi

Yaseen Afaqi

jila-watan ki wapsi

Yaseen Afaqi

MORE BYYaseen Afaqi

    zamīn vajūd mere intizār meñ thā

    merī sadā ko

    raushnī shanāḳht ke liye sunā gayā

    jo azalī pāniyoñ se

    favvāre tarah phail rahī thī

    maiñ tez tez

    ābshār tarah zamīn ke muñh meñ gir rahā thā

    zamīn muñh

    gulāb ke phuul tarah havā meñ ho rahā thā

    pahlī baar jab maiñ āsmān se girā thā

    zamīn ne merī āvāz ko mausīqī tarah sunā thā

    zamīn ke dil meñ dard dariyā thā

    jis meñ maiñ ne janm liyā thā

    ab maiñ apne andar se us raushnī ko yaad kartā huuñ

    jo mere vajūd meñ ġhair-ma.amūlī ḳhāmoshī ke saath mahfūz hai

    aur apnī pahlī maujūdgī ke saath

    merī āñkhoñ meñ ubhar aatī hai

    lekin maiñ is āvāz ko kabhī nahīñ sakūñgā

    jo mere ghar sukūn hai

    maiñ har roz apne aap ko chhoḌtā huuñ

    ek zaḳhmī parinde tarah

    jo band havā maiñ āsmān tarah uḌtā hai

    aur ek jilā-vatan tarah saañs letā hai

    zamin ka wajud mere intizar mein tha

    meri sada ko

    raushni ki shanaKHt ke liye suna gaya

    jo azali paniyon se

    fawware ki tarah phail rahi thi

    main tez tez

    aabshaar ki tarah zamin ke munh mein gir raha tha

    zamin ka munh

    gulab ke phul ki tarah hawa mein wa ho raha tha

    pahli bar jab main aasman se gira tha

    zamin ne meri aawaz ko mausiqi ki tarah suna tha

    zamin ke dil mein dard ka dariya tha

    jis mein main ne janm liya tha

    ab main apne andar se us raushni ko yaad karta hun

    jo mere wajud mein ghair-mamuli KHamoshi ke sath mahfuz hai

    aur apni pahli maujudgi ke sath

    meri aankhon mein ubhar aati hai

    lekin main is aawaz ko kabhi nahin pa sakunga

    jo mere ghar ka sukun hai

    main har roz apne aap ko chhoDta hun

    ek zaKHmi parinde ki tarah

    jo band hawa main aasman ki tarah uDta hai

    aur ek jila-watan ki tarah sans leta hai

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 250)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now