Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juz teri aankhon ke

Makhdoom Mohiuddin

juz teri aankhon ke

Makhdoom Mohiuddin

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    juz tirī āñkhoñ ke kin āñkhoñ ne

    lutf haath rakhā dard peshānī par

    pyaar āñkhoñ se aañsū pochhe

    narmiyāñ

    lamha-e-vasl mānind

    dil-o-jāñ meñ utartī chalī jaatī haiñ

    hijr shaam hai Dhal jā.egī

    vasl lamha gurezāñ hai pighal jā.egā

    tere ruḳhsār dahkī huī rañgīn shafaq

    aur bhī surḳh huī

    tere sulge hue hoñToñ ke mahakte sho.ale

    aur bhī tez hue

    kab chhalak jaa.e na jaane tirī labrez vafā āñkhoñ se

    mahr mai

    kab nikal aa.e tire pyaar chāñd

    toḌ de halqa-e-zanjīr-e-shab-o-roz

    ki ye silsila-e-karb-o-alam ḳhatm to ho

    aur ho jaa.e junūñ āvāra

    mire halqa-e-āġhosh meñ aa

    juz teri aankhon ke kin aankhon ne

    lutf ka hath rakha dard ki peshani par

    pyar ki aankhon se aansu pochhe

    narmiyan

    lamha-e-wasl ki manind

    dil-o-jaan mein utarti hi chali jati hain

    hijr ki sham hai Dhal jaegi

    wasl ka lamha gurezan hai pighal jaega

    tere ruKHsar ki dahki hui rangin shafaq

    aur bhi surKH hui

    tere sulge hue honTon ke mahakte shoale

    aur bhi tez hue

    kab chhalak jae na jaane teri labrez wafa aankhon se

    mahr ki mai

    kab nikal aae tere pyar ka chand

    toD de halqa-e-zanjir-e-shab-o-roz

    ki ye silsila-e-karb-o-alam KHatm to ho

    aur ho jae junun aawara

    tu mere halqa-e-aghosh mein aa

    Source:

    Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 228)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now