aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaenat-e-zat ka musafir

Ahmad Zafar

kaenat-e-zat ka musafir

Ahmad Zafar

MORE BYAhmad Zafar

    ā.īna raqs meñ hasrat shanāsā.ī

    kitne chup-chāp ḳharāboñ meñ liye jaatā hai

    har taraf nirḳh-zada chehroñ āvāzeñ haiñ

    merī āvāz kahāñ thī merī āvāz kahāñ

    madfan-e-vaqt se kab koī sadā aa.ī hai

    ek lamha vahī lamha mirī tanhā.ī

    zaḳhm par zaḳhm mire dil ko diye jaatā hai

    phuul ke haath meñ hai raat ke mātam charāġh

    kabhī bujhtā kabhī jaltā hai sulagtā hai kabhī

    saañs se jism naata mirī rusvā.ī hai

    ham-safar kaun huā lāla-e-sahrā.ī

    parda-e-rāz-e-azal chaak kiye jaatā hai

    sar hathelī pe sajā.e hue chalte rahnā

    zinda rahne ke liye rasm rahegī kab tak

    dard dariyā hai vahī dard gahrā.ī hai

    aaina raqs mein hasrat ki shanasai ka

    kitne chup-chap KHarabon mein liye jata hai

    har taraf nirKH-zada chehron ki aawazen hain

    meri aawaz kahan thi meri aawaz kahan

    madfan-e-waqt se kab koi sada aai hai

    ek lamha wahi lamha meri tanhai ka

    zaKHm par zaKHm mere dil ko diye jata hai

    phul ke hath mein hai raat ke matam ka charagh

    kabhi bujhta kabhi jalta hai sulagta hai kabhi

    sans se jism ka nata meri ruswai hai

    ham-safar kaun hua lala-e-sahrai ka

    parda-e-raaz-e-azal chaak kiye jata hai

    sar hatheli pe sajae hue chalte rahna

    zinda rahne ke liye rasm rahegi kab tak

    dard dariya hai wahi dard ki gahrai hai

    Source:

    naquush (Pg. 269)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now