aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar-nama

Akhtarul Iman

kar-nama

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    aziim kaam karūñ koī ek din sochā

    ki rahtī duniyā meñ apnā bhī naam rah jaa.e

    magar vo kaam ho kyā zehn meñ nahīñ aayā

    payambarī to ziyāñ jaan hai daavā kyā

    jaane suulī pe chaḌhnā ho chaleñ aare

    ki zinda aag lapToñ nazr honā paḌe

    ḳhayāl aayā funūn-e-latīfa Dheroñ haiñ

    sanam-tarāshī hai naġhmagarī ki naqqāshī

    ye sab dā.imī shohrat ik vasīla haiñ

    magar na lafzoñ pe qudrat na rañg qaabū meñ

    phir ik zariya siyāsat hai naam paane

    alāva naam ke mohre banā ke logoñ ko

    bisāt-e-arz pe shatranj khel sakte haiñ

    magar ye fan bhī mirī dastaras se bāhar thā

    phir aur kyā ho bahut kuchh ḳhayāl dauḌāyā

    alāva in ke mujhe aur kuchh nahīñ sūjhā

    zamāne baad samundar kināre baiThā thā

    aziim shai hai samundar bhī mere dil ne kahā

    vo kyā tarīqa ho maiñ is bhaag ban jā.ūñ

    samajh meñ aayā nahīñ koī rāsta bhī jab

    to jhunjhlā ke samundar meñ kar diyā peshāb

    azim kaam karun koi ek din socha

    ki rahti duniya mein apna bhi nam rah jae

    magar wo kaam ho kya zehn mein nahin aaya

    payambari to ziyan jaan ka hai dawa kya

    tu jaane suli pe chaDhna ho ya chalen aare

    ki zinda aag ki lapTon ki nazr hona paDe

    KHayal aaya funun-e-latifa Dheron hain

    sanam-tarashi hai naghmagari ki naqqashi

    ye sab hi daimi shohrat ka ek wasila hain

    magar na lafzon pe qudrat na rang qabu mein

    phir ek zariya siyasat hai nam pane ka

    alawa nam ke mohre bana ke logon ko

    bisat-e-arz pe shatranj khel sakte hain

    magar ye fan bhi meri dastaras se bahar tha

    phir aur kya ho bahut kuchh KHayal dauDaya

    alawa in ke mujhe aur kuchh nahin sujha

    zamane baad samundar kinare baiTha tha

    azim shai hai samundar bhi mere dil ne kaha

    wo kya tariqa ho main is ka bhag ban jaun

    samajh mein aaya nahin koi rasta bhi jab

    to jhunjhla ke samundar mein kar diya peshab

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kar-nama Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now