Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahi an-kahi

Zia Jalandhari

kahi an-kahi

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    lafz tasvīreñ banāte tire hoñToñ se uThe the lekin

    dekhte dekhte tahlīl hue

    un hiddat mirī rag rag meñ ravāñ thī so rahī

    phir tire hāthoñ lams aise mulā.em alfāz

    terī āñkhoñ chamak raushan o mub.ham alfāz

    aur vo lafz jo lafzoñ meñ nihāñ rahte haiñ

    aur vo lafz ki iz.hār ke muhtāj nahīñ

    phir bhī haiñ un ke liye gosh-bar-āvāz sabhī

    un ke hamrāz sabhī

    sab sune maiñ ne magar āḳhir-e-kār

    sabhī tahlīl hue

    lafz phir ruup badal kar mire dil meñ larze

    shauq-e-iz.hār meñ be-tāb hue

    lafz iz.hār meñ sūrat badal lete haiñ

    jaane kyā baat thī kyā samjhe log

    har koī apne lafzoñ meñ magan

    har koī apne ras-rañg meñ gum

    har koī apne āhañg meñ gum

    aur phir lafz ki rahte haiñ gurezāñ ḳhud se

    kaun suntā hai unheñ? kaun samajhtā hai unheñ?

    jaane kyā baat thī kyā ne sunī

    apne iz.hār pe nādim thā pashemān thā maiñ

    apnī baat pe hairān thā maiñ

    phir mirī baat bhī tahlīl huī

    jaise bhuul ga.ī jaise jahāñ bhuul gayā

    aur ab maiñ huuñ vo ik lafz-e-ġharīb

    koī pūchhe bhī to chup rahtā huuñ

    lafz taswiren banate tere honTon se uThe the lekin

    dekhte dekhte tahlil hue

    un ki hiddat meri rag rag mein rawan thi so rahi

    phir tere hathon ka lams aise mulaem alfaz

    teri aankhon ki chamak raushan o mubham alfaz

    aur wo lafz jo lafzon mein nihan rahte hain

    aur wo lafz ki izhaar ke muhtaj nahin

    phir bhi hain un ke liye gosh-bar-awaz sabhi

    un ke hamraaz sabhi

    sab sune main ne magar aaKHir-e-kar

    sabhi tahlil hue

    lafz phir rup badal kar mere dil mein larze

    shauq-e-izhaar mein be-tab hue

    lafz izhaar mein surat hi badal lete hain

    jaane kya baat thi kya samjhe log

    har koi apne hi lafzon mein magan

    har koi apne hi ras-rang mein gum

    har koi apne hi aahang mein gum

    aur phir lafz ki rahte hain gurezan KHud se

    kaun sunta hai unhen? kaun samajhta hai unhen?

    jaane kya baat thi kya tu ne suni

    apne izhaar pe nadim tha pasheman tha main

    apni hi baat pe hairan tha main

    phir meri baat bhi tahlil hui

    jaise tu bhul gai jaise jahan bhul gaya

    aur ab main hun wo ek lafz-e-gharib

    koi puchhe bhi to chup rahta hun

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 314)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now