Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanpur

MORE BYZafar Ali Khan

    ye maqnātīs dāvat thī aahan kaise rad kartā

    maiñ kalkatta se ruḳhsat ho ke sīdhā kanpur aaya

    nazar aa.e razā-kārān-e-nīlī-posh saf-dar-saf

    mire dil meñ surūr utrā mirī āñkhoñ meñ nuur aaya

    sunā.ī dāstāñ lahore aur us ke shahīdoñ

    to merī peshvā.ī ke liye shor-e-nushūr aaya

    siyah-mastī detā huuñ salā rindān-e-mashriq ko

    ḳhumistān-e-arab ke nashshe meñ ho kar maiñ chuur aaya

    kiyā afsāna duniyā supurd-e-ḳhāma jab maiñ ne

    to afsūñ dīn-e-qayyim nazar bainassutūr aaya

    musalmānoñ jam.iyyat se Takrānā nahīñ āsāñ

    vo Takrā.eñ to samjho un aqloñ meñ futūr aaya

    ḳhudā hamd paiġhambar mad.h islām ke qisse

    mire mazmūñ meñ jab se sher kahne shu.ūr aaya

    ye maqnatis ki dawat thi aahan kaise rad karta

    main kalkatta se ruKHsat ho ke sidha kanpur aaya

    nazar aae raza-karan-e-nili-posh saf-dar-saf

    mere dil mein surur utra meri aankhon mein nur aaya

    sunai dastan lahore aur us ke shahidon ki

    to meri peshwai ke liye shor-e-nushur aaya

    siyah-masti ki deta hun sala rindan-e-mashriq ko

    KHumistan-e-arab ke nashshe mein ho kar main chur aaya

    kiya afsana duniya ka supurd-e-KHama jab main ne

    to afsun din-e-qayyim ka nazar bainassutur aaya

    musalmanon ki jamiyyat se Takrana nahin aasan

    wo Takraen to samjho un ki aqlon mein futur aaya

    KHuda ki hamd paighambar ki madh islam ke qisse

    mere mazmun mein jab se sher kahne ka shuur aaya

    Source:

    Baharistan (Pg. E-108 B-91)

    • Author: Zafar Ali Khan
      • Edition: 1937
      • Publisher: Urdu Academy Punjab, Lahore
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now