aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karahte hue dil

Mustafa Zaidi

karahte hue dil

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    maiñ aspatāl ke bistar pe tum se itnī duur

    ye sochtā huuñ ki aisī ajiib duniyā meñ

    na jaane aaj ke din kyā nahīñ huā hogā

    kisī ne baḌh ke sitāre qafas kiye hoñge

    kisī ke haat meñ mahtāb aa gayā hogā

    jalā.ī hoñgī kisī ke nafas ne qindīleñ

    kisī bazm meñ ḳhurshīd nāchtā hogā

    kisī ko zehn chhoTā tāziyāna bahut

    kisī ko dil kashākash hausla hogā

    na jaane kitne irāde ubhar rahe hoñge

    na jaane kitne ḳhayāloñ dil baḌhā hogā

    tumhārī phuul fitrat sat.h-e-narm se duur

    pahāḌ hoñge samundar rāsta hogā

    ye ek farz māhaul farz sañgīt

    ye aspatāl ke aañsū ye aspatāl riit

    mire qarīb bahut se marīz aur bhī haiñ

    pukārtī huī āñkheñ karāhte hue dil

    bahut aziiz hai in sab ko zindagī apnī

    ye apnī ziist ehsās kaisī ne.amat hai

    magar mujhe yahī uljhan ki zindagī ye bhiik

    jo mil ga.ī bhī to kitnī zarā baat milī

    kisī ke haat meñ mahtāb aa gayā bhī to kyā

    kisī ke qadmoñ meñ sūraj sar jhukā bhī to kyā

    huā kyā jo ye chhoTī kā.enāt milī?

    mire vajūd gahrī ḳhamosh vīrānī

    tumheñ yahāñ ke añdhere ilm kyā hogā

    tumheñ to sirf muqaddar se chāñd raat milī

    main aspatal ke bistar pe tum se itni dur

    ye sochta hun ki aisi ajib duniya mein

    na jaane aaj ke din kya nahin hua hoga

    kisi ne baDh ke sitare qafas kiye honge

    kisi ke hat mein mahtab aa gaya hoga

    jalai hongi kisi ke nafas ne qindilen

    kisi ki bazm mein KHurshid nachta hoga

    kisi ko zehn ka chhoTa sa taziyana bahut

    kisi ko dil ki kashakash ka hausla hoga

    na jaane kitne irade ubhar rahe honge

    na jaane kitne KHayalon ka dil baDha hoga

    tumhaari phul si fitrat ki sath-e-narm se dur

    pahaD honge samundar ka rasta hoga

    ye ek farz ka mahaul farz ka sangit

    ye aspatal ke aansu ye aspatal ki rit

    mere qarib bahut se mariz aur bhi hain

    pukarti hui aankhen karahte hue dil

    bahut aziz hai in sab ko zindagi apni

    ye apni zist ka ehsas kaisi neamat hai

    magar mujhe yahi uljhan ki zindagi ki ye bhik

    jo mil gai bhi to kitni zara si baat mili

    kisi ke hat mein mahtab aa gaya bhi to kya

    kisi ke qadmon mein suraj ka sar jhuka bhi to kya

    hua hi kya jo ye chhoTi si kaenat mili?

    mere wajud ki gahri KHamosh virani

    tumhein yahan ke andhere ka ilm kya hoga

    tumhein to sirf muqaddar se chand raat mili

    Source:

    kulliyat-e-mustafa zaidii(shahr-e-aazar) (Pg. 95)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now