Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun hai tu

Ain Rashid

kaun hai tu

Ain Rashid

MORE BYAin Rashid

    saaya merā mujh ko dekh ke bhāge hai

    phir bhī mere saath rahe hai

    kaun hai

    abhī qurbat ziist baa.is hai

    phir bhī tujh se Dar lage hai

    kaun hai

    tujh ko dekh ke pyaar se dil bhar aa.e kabhī

    duuje lamhe dil larze hai

    kaun hai

    tere man bāteñ man bāteñ haiñ

    phir bhī man baat na samjhe

    kaun hai

    raaz saarī bāteñ tujh se kar luuñ maiñ

    phir bhī haal chhupā.ūñ

    kaun hai

    sharm se sar jhuk jaa.e jab bhī aa.e

    phir bhī dil ke paas rahe hai

    kaun hai

    terī sāñsoñ mausam mausam hai

    ġhairoñ mausam lage hai

    kaun hai

    tujh ko dekh ke lab ḳhushk ho jaa.eñ kabhī

    bāteñ karne ko dil tarse hai

    kaun hai

    jhuk ke jab bhī dekhūñ apnī lagtī hai

    phir bhī mujh se duur rahe hai

    kaun hai

    saya mera mujh ko dekh ke bhage hai

    phir bhi mere sath rahe hai

    kaun hai tu

    abhi qurbat hi zist ka bais hai

    phir bhi tujh se Dar hi lage hai

    kaun hai tu

    tujh ko dekh ke pyar se dil bhar aae kabhi

    duje lamhe dil larze hai

    kaun hai tu

    tere man ki baaten man ki baaten hain

    phir bhi man ki baat na samjhe

    kaun hai tu

    raaz ki sari baaten tujh se kar lun main

    phir bhi ji ka haal chhupaun

    kaun hai tu

    sharm se sar jhuk jae jab bhi aae tu

    phir bhi dil ke pas rahe hai

    kaun hai tu

    teri sanson ka mausam hi mausam hai

    ghairon ka mausam hi lage hai

    kaun hai tu

    tujh ko dekh ke lab KHushk ho jaen kabhi

    baaten karne ko dil tarse hai

    kaun hai tu

    jhuk ke jab bhi dekhun apni lagti hai

    phir bhi mujh se dur rahe hai

    kaun hai tu

    Source:

    Aabnoosi Khayal (Pg. 57)

    • Author: Ain Rashid
      • Publisher: Begam Naseem Khan
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now