Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khaya piya kuchh nahin

Shaukat Jamal

khaya piya kuchh nahin

Shaukat Jamal

MORE BYShaukat Jamal

    hotel meñ kal ga.e to ye sochā ki khā.eñ kyā

    begam se ham ne pūchhā ki boleñ mañgā.eñ kyā

    bolīñ sikhāne ke liye kyā ye kanīz hai

    hotel meñ aa ga.e haiñ magar kuchh tamīz hai

    hotel ehtirām kareñ kuchh adab kareñ

    lāzim hai sab se pahle to menu talab kareñ

    uñglī ke ik ishāre se waiter bhī aa gayā

    menu jo haath meñ thā vo mujh ko thamā gayā

    menu ko apne sāmne phir maiñ ne rakh liyā

    begam ne itnī der meñ ketchup haḌap kiyā

    chashma lagā ke menu ko jab ġhaur se paḌhā

    har ek shai daam mujhe to lagā chaḌhā

    begam ko paḌh ke menu sunānā thā lāzmī

    ye silsila chalānā thā aage hañsī-ḳhushī

    pūchhā shurūa salād se ham kar leñ bhāgvān

    bolīñ kachar-kachar se pakā.eñge mere kaan

    maiñ ne kiyā jo dāl-fry kuchh bayāñ

    bolīñ ki maiñ to aap se ḳhāsī thī ḳhush-gumāñ

    thoḌī bahut karele se raġhbat hai aap ko

    kahne lagīñ ki sūjhī sharārat hai aap ko

    jab ye kahā ki bhinDī yahāñ lazīz hai

    bolīñ bhalā batāo vo khāne chiiz hai

    phir maiñ ne zikr chheḌā jo pālak-panīr

    taḌpīñ vo jaise sher paḌhā maiñ ne 'mīr'

    bolīñ ki jānte nahīñ tibbī muāmlāt

    phathrī ḳhauf rahtā hai khāne se saag paat

    maiñ ne kahā ki gobhī maTar khā ke dekh leñ

    bolīñ ki aisī chīzoñ se parhez kareñ

    biryānī jo zikr kiyā ehtimām se

    tan-man meñ un ke aag lagī is kalām se

    farmāyā ho chikan mutton beef

    tārīf mat karo kisī jins-e-latīf

    maiñ ne kahā yahāñ hai bihārī kabāb bhī

    bolīñ ki beef kartā hai me.ada ḳharāb bhī

    bolīñ nalī nahārī sun kar hai lā-javāb

    cholesterol baḌhtā hai lekin mire janāb

    maiñ ne kahā kaḌāhī mutton aur chikan hai

    ḳhurāk āj-kal yahī har mard-o-zan hai

    bolīñ ki mirch tez na ho to maza nahīñ

    aur tez mirch khāne ab hausla nahīñ

    pūchhā batā.iye to sahī donoñ khā.eñ kyā

    menu paḌā hai sāmne boleñ mañgā.eñ kyā

    bolīñ uTheñ yahāñ se mirā hai ye mashvara

    chalte haiñ chal ke khāte haiñ burger kisī jagah

    hotel mein kal gae to ye socha ki khaen kya

    begam se hum ne puchha ki bolen mangaen kya

    bolin sikhane ke liye kya ye kaniz hai

    hotel mein aa gae hain magar kuchh tamiz hai

    hotel ka ehtiram karen kuchh adab karen

    lazim hai sab se pahle to meinu talab karen

    ungli ke ek ishaare se waiter bhi aa gaya

    meinu jo hath mein tha wo mujh ko thama gaya

    meinu ko apne samne phir main ne rakh liya

    begam ne itni der mein ketchup haDap kiya

    chashma laga ke meinu ko jab ghaur se paDha

    har ek shai ka dam mujhe to laga chaDha

    begam ko paDh ke meinu sunana tha lazmi

    ye silsila chalana tha aage hansi-KHushi

    puchha shurua salad se hum kar len bhagwan

    bolin kachar-kachar se pakaenge mere kan

    main ne kiya jo dal-fry ka kuchh bayan

    bolin ki main to aap se KHasi thi KHush-guman

    thoDi bahut karele se raghbat hai aap ko

    kahne lagin ki sujhi shararat hai aap ko

    jab ye kaha ki bhinDi yahan ki laziz hai

    bolin bhala batao wo khane ki chiz hai

    phir main ne zikr chheDa jo palak-panir ka

    taDpin wo jaise sher paDha main ne 'mir' ka

    bolin ki jaante nahin tibbi muamlat

    phathri ka KHauf rahta hai khane se sag pat

    main ne kaha ki gobhi maTar kha ke dekh len

    bolin ki aisi chizon se parhez hi karen

    biryani ka jo zikr kiya ehtimam se

    tan-man mein un ke aag lagi is kalam se

    farmaya ho chikan ki mutton ki ya beef ki

    tarif mat karo kisi jins-e-latif ki

    main ne kaha yahan hai bihaari kabab bhi

    bolin ki beef karta hai meada KHarab bhi

    bolin nali nahaari ka sun kar hai la-jawab

    cholesterol baDhta hai lekin mere janab

    main ne kaha kaDahi mutton aur chikan ki hai

    KHurak aaj-kal yahi har mard-o-zan ki hai

    bolin ki mirch tez na ho to maza nahin

    aur tez mirch khane ka ab hausla nahin

    puchha bataiye to sahi donon khaen kya

    meinu paDa hai samne bolen mangaen kya

    bolin uThen yahan se mera hai ye mashwara

    chalte hain chal ke khate hain burger kisi jagah

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now