Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khanDar

MORE BYKafeel Aazar Amrohvi

    kaisī ḳhāmoshī hai vīrānī hai sannāTā hai

    koī aahaT hai na āvāz na koī dhaḌkan

    dil hai qabr sulagtī huī tanhā.ī

    zehan hai kisī beva akelā āñgan

    uḌ gayā rañg har ik soch ke ā.īñe

    shab ke be-nūr dupaTTe se sitāre TuuTe

    jam ga.ī gard ḳhayāloñ hasīñ rāhoñ par

    muddateñ ho ga.iiñ ummīd dāman chhūTe

    yak-ba-yak duur bahut duur bahut duur kahīñ

    terī pāzeb chhanakne sadā aane lagī

    shauq ne paañv baḌhā.e usī āvāz samt

    tujh se milne lagan aur bhī taḌpāne lagī

    ye khañDar aaj jahāñ raat tārīkī meñ

    ne bhūle hue afsāne ko dohrāyā hai

    isī ujḌe hue vīrān khañDar meñ ki jahāñ

    kitne din ba.ad tirā saaya nazar aayā hai

    isī ujḌe hue vīrān khañDar meñ ham ne

    umr bhar saath nibhāne qasam khaa.ī thī

    isī ujḌe hue vīrān khañDar meñ tere

    thartharāte hue hoñToñ pe duā aa.ī thī

    rasm koī ho magar ham ko judā kar na sake

    ye rivāyāt na pahnā.eñ kabhī zanjīreñ

    ham ki is raaz se is baat se nā-vāqif the

    ki duāoñ se badaltī nahīñ taqdīreñ

    lekin ab rasm koī kuchh na kahegī mujh se

    ab rivāyāt ko majbūr kiyā hai maiñ ne

    ab na rokegā mirī raah zamāna baḌh kar

    jo bhī anjām ho ye soch liyā hai maiñ ne

    maiñ muqaddar se gale mil ke nahīñ ro saktā

    tujh ko paanā mirā maqsad hai tujhe pā.ūñgā

    aaj Thukrā ke har ik maslahat-andeshī ko

    tere saa.e ke ta.āqub meñ chalā jā.ūñgā

    kaisi KHamoshi hai virani hai sannaTa hai

    koi aahaT hai na aawaz na koi dhaDkan

    dil hai ya qabr sulagti hui tanhai ki

    zehan hai ya kisi bewa ka akela aangan

    uD gaya rang har ek soch ke aaine ka

    shab ke be-nur dupaTTe se sitare TuTe

    jam gai gard KHayalon ki hasin rahon par

    muddaten ho gain ummid ka daman chhuTe

    yak-ba-yak dur bahut dur bahut dur kahin

    teri pazeb chhanakne ki sada aane lagi

    shauq ne panw baDhae usi aawaz ki samt

    tujh se milne ki lagan aur bhi taDpane lagi

    ye khanDar aaj jahan raat ki tariki mein

    tu ne bhule hue afsane ko dohraya hai

    isi ujDe hue viran khanDar mein ki jahan

    kitne din baad tera saya nazar aaya hai

    isi ujDe hue viran khanDar mein hum ne

    umr bhar sath nibhane ki qasam khai thi

    isi ujDe hue viran khanDar mein tere

    thartharaate hue honTon pe dua aai thi

    rasm koi ho magar hum ko juda kar na sake

    ye riwayat na pahnaen kabhi zanjiren

    hum ki is raaz se is baat se na-waqif the

    ki duaon se badalti hi nahin taqdiren

    lekin ab rasm koi kuchh na kahegi mujh se

    ab riwayat ko majbur kiya hai main ne

    ab na rokega meri rah zamana baDh kar

    jo bhi anjam ho ye soch liya hai main ne

    main muqaddar se gale mil ke nahin ro sakta

    tujh ko pana mera maqsad hai tujhe paunga

    aaj Thukra ke har ek maslahat-andeshi ko

    tere sae ke taaqub mein chala jaunga

    Source:

    Dhoop Ka Dareecha (Pg. 31)

    • Author: Kafeel Aazar Amrohi
      • Edition: 1993
      • Publisher: S. F. Printers Delhi
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now