Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHarosh-e-KHum

Abdul Aziz Khalid

KHarosh-e-KHum

Abdul Aziz Khalid

MORE BYAbdul Aziz Khalid

    Interesting Fact

    (Naqsh, Karachi, January-February 1973)

    tamām-umr dil-e-ḳhud-nigar nazr huī

    adhūre ḳhvāb haiñ dāman meñ tishna-lab bāteñ

    gulū-girafta gale be-asar munājāteñ

    jo ghuT ke mar ga.iiñ siine meñ vo mulāqāteñ

    jo karvaToñ meñ kaTīñ vo gunāh rāteñ

    ba-shauq-e-qadr kahīñ jin qadr ho na sakī

    vo armuġhān-e-navā vo suḳhan sauġhāteñ

    ba-nām-e-husn vo chiTThī jo Dar nazr huī

    zamāne nigah-e-kaj-nazar nazr huī

    tamām-umr dil-e-pur-hazar nazr huī

    ba-kār guzrī hai jaane ki rā.egāñ guzrī

    tamam-umr dil-e-KHud-nigar ki nazr hui

    adhure KHwab hain daman mein tishna-lab baaten

    gulu-girafta gale be-asar munajaten

    jo ghuT ke mar gain sine mein wo mulaqaten

    jo karwaTon mein kaTin wo gunah ki raaten

    ba-shauq-e-qadr kahin jin ki qadr ho na saki

    wo armughan-e-nawa wo suKHan ki saughaten

    ba-nam-e-husn wo chiTThi jo Dar ki nazr hui

    zamane ki nigah-e-kaj-nazar ki nazr hui

    tamam-umr dil-e-pur-hazar ki nazr hui

    ba-kar guzri hai jaane ki raegan guzri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now