Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-kushi

Majeed Amjad

KHud-kushi

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    haañ maiñ ne bhī sunā hai tumhāre paḌos meñ

    kal raat ek hādsa-e-qatl ho gayā

    haañ maiñ ne bhī sunā hai ki ik jaam zahr

    do jīvanoñ nannhī naukā Dubo gayā

    koī dukhī javān vatan apnā chhoḌ kar

    apnī sakhī ke saath ik aur des ko gayā

    duniyā ke ḳhārzār meñ sau Thokaroñ ke ba.ad

    yuuñ āḳhir un qissa-e-ġham ḳhatm ho gayā

    yuuñ tai kiyā unhoñ ne mohabbat marhala

    ek ek ghoñT aur jo honā thā ho gayā

    donoñ aañkh meñ thā ik ik ashk munjamid

    jo ḳhushk ḳhushk palkoñ nokeñ bhigo gayā

    kuchh kahne paa.ī thī ki vo ḳhāmosh ho ga.ī

    koī javāb dene ko thā vo ki so gayā

    paimāna-e-ajal vo talḳhāba is tarah

    rūhoñ ke zaḳhmoñ sīnoñ ke dāġhoñ ko dho gayā

    aksar yūñhī huā hai ki ulfat imtihāñ

    dushvāriyoñ meñ maut āsān ho gayā

    aao ham bhī toḌ deñ is dām-e-zīst ko

    sañg-e-ajal pe phoḌ deñ is jām-e-zīst ko

    han main ne bhi suna hai tumhaare paDos mein

    kal raat ek hadsa-e-qatl ho gaya

    han main ne bhi suna hai ki ek jam zahr ka

    do jiwanon ki nannhi si nauka Dubo gaya

    koi dukhi jawan watan apna chhoD kar

    apni sakhi ke sath ek aur des ko gaya

    duniya ke KHarzar mein sau Thokaron ke baad

    yun aaKHir un ka qissa-e-gham KHatm ho gaya

    yun tai kiya unhon ne mohabbat ka marhala

    ek ek ghonT aur jo hona tha ho gaya

    donon ki aankh mein tha ek ek ashk munjamid

    jo KHushk KHushk palkon ki noken bhigo gaya

    kuchh kahne pai thi ki wo KHamosh ho gai

    koi jawab dene ko tha wo ki so gaya

    paimana-e-ajal ka wo talKHaba is tarah

    ruhon ke zaKHmon sinon ke daghon ko dho gaya

    aksar yunhi hua hai ki ulfat ka imtihan

    dushwariyon mein maut ki aasan ho gaya

    aao na hum bhi toD den is dam-e-zist ko

    sang-e-ajal pe phoD den is jam-e-zist ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now