Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi tange mein phir saman rakkha ja raha hai

Shariq Kaifi

kisi tange mein phir saman rakkha ja raha hai

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    kisī āñsuoñ se tar-ba-tar dāḌhī ke

    kuchh TuuTe hue baal

    aaj bhī mumkin hai mil jaa.eñ

    baḌe sandūq meñ rakkhe

    mere bad-rañg se ik suitar par

    usī din koī ham-shakl din hai

    kisī tāñge meñ phir sāmān rakkhā rahā hai

    vahī dahlīz hai

    lekin mire dāḌhī nahīñ hai

    mirā laḌkā gale se lag ke mere

    thapak kar piiTh merī

    buzurgoñ tarah mujh ko tasallī de rahā hai

    aur maiñ ik bachche sūrat ro rahā huuñ

    hichkiyoñ se

    kisi ki aansuon se tar-ba-tar daDhi ke

    kuchh TuTe hue baal

    aaj bhi mumkin hai mil jaen

    baDe sanduq mein rakkhe

    mere bad-rang se ek suitar par

    usi din ka koi ham-shakl din hai

    kisi tange mein phir saman rakkha ja raha hai

    wahi dahliz hai

    lekin mere daDhi nahin hai

    mera laDka gale se lag ke mere

    thapak kar piTh meri

    buzurgon ki tarah mujh ko tasalli de raha hai

    aur main ek bachche ki surat ro raha hun

    hichkiyon se

    Source:

    Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 110)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now