aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kursi

MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi

    dhobī naa.ī shaiḳh vaDere kursī ke matvāle dekhe

    ashrāfoñ baat na pūchho sab ke muñh par taale dekhe

    kursī ke shaidā.ī yaaro mashriq maġhrib vaale dekhe

    us dhun meñ jaan se jaate aksar gore kaale dekhe

    kursī ko mazbūt na kahnā baat baḌī muñh chhoTā hai

    kursī toḌ tamāshā karte aksar laḌke baale dekhe

    kursī hāsil kar lenā bhī aisī-vaisī baat na samjho

    kursī hasrat meñ jhukte baḌe baḌe vaale dekhe

    kaalī piilī mushkī kursī husn ke dil dhaḌkan Thahrī

    us ke aage pīchhe ham ne aafat ke par kaale dekhe

    gul khilte gul ugte dekhe maiḳhāne ke andar bāhar

    saaqī dekhā miinā dekhī baada dekhā pyāle dekhe

    ghar vaale chhoḌ chuke jab jakaḌ pakaḌ ke tūfānoñ meñ

    ghar ke andar jagah jagah par makḌī dekhī jaale dekhe

    aaj assembly hall ke bāhar ahl-e-nazar mela dekhā

    member ḳhātūneñ bhī dekhīñ aur un ke ghar vaale dekhe

    baḌe baḌe sarmāya vaale dūlhā ban kar kursī laa.e

    chhoTe-moTe nau-daulatiye kursī ke shah-bāle dekhe

    kursī kar apne 'zaidī' apnoñ se kaise milte haiñ

    āñkheñ rakhne vaalā koī mere dil ke chhāle dekhe

    dhobi nai shaiKH waDere kursi ke matwale dekhe

    ashrafon ki baat na puchho sab ke munh par tale dekhe

    kursi ke shaidai yaro mashriq maghrib wale dekhe

    us ki dhun mein jaan se jate aksar gore kale dekhe

    kursi ko mazbut na kahna baat baDi munh chhoTa sa hai

    kursi toD tamasha karte aksar laDke baale dekhe

    kursi hasil kar lena bhi aisi-waisi baat na samjho

    kursi ki hasrat mein jhukte baDe baDe ji wale dekhe

    kali pili mushki kursi husn ke dil ki dhaDkan Thahri

    us ke aage pichhe hum ne aafat ke par kale dekhe

    gul khilte gul ugte dekhe maiKHane ke andar bahar

    saqi dekha mina dekhi baada dekha pyale dekhe

    ghar wale ji chhoD chuke jab jakaD pakaD ke tufanon mein

    ghar ke andar jagah jagah par makDi dekhi jale dekhe

    aaj assembly hall ke bahar ahl-e-nazar ka mela dekha

    member KHatunen bhi dekhin aur un ke ghar wale dekhe

    baDe baDe sarmaya wale dulha ban kar kursi lae

    chhoTe-moTe nau-daulatiye kursi ke shah-baale dekhe

    kursi pa kar apne 'zaidi' apnon se kaise milte hain

    aankhen rakhne wala koi mere dil ke chhaale dekhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now