Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz ki chhanw mein

Adil Mansuri

lafz ki chhanw mein

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    lafz chhāñv meñ

    niim pattiyoñ safar talḳh

    sīlnī jism meñ ruuh bechain bhī

    shahriyat ke taqāze jo TuuTe kabhī

    zindagī ke amal meñ bhī shak aa paḌā

    TuuT kar kis tarah juḌ ga.ī chāndnī

    dhuup lamhoñ ke chehroñ se girtī huī ḳhaak meñ milī

    sar jhukā.e hue kaun saḌkoñ pe yuuñ tujh ko DhūñDā kare

    ham-kalāmī izzat bādal sadā sar pe saaya fagan

    jab terī ḳhāmushī ke ma.ānī ke hoñToñ se Tapke hue

    duudh ke chand qatre samundar bane

    bādbānoñ ke āġhosh khole hue kashtiyāñ chal paḌīñ

    tishnagī ke jazīroñ pe saaya kahāñ

    sub.h mom pighlā to ḳhvāboñ ke dil bujh ga.e

    bujh ga.ī raat bhī

    bujh ga.ī lafz ke haath baat bhī

    lafz maidān meñ sar-nigūñ rah ga.e

    sañgsārī lazzat lahū ban ga.ī

    kaun poshīda jazboñ chilman bane

    lafz chhāñv meñ koī sūraj Dhale

    lafz ki chhanw mein

    nim ki pattiyon ka safar talKH sa

    silni jism mein ruh bechain bhi

    shahriyat ke taqaze jo TuTe kabhi

    zindagi ke amal mein bhi shak aa paDa

    TuT kar kis tarah juD gai chandni

    dhup lamhon ke chehron se girti hui KHak mein ja mili

    sar jhukae hue kaun saDkon pe yun tujh ko DhunDa kare

    ham-kalami ki izzat ka baadal sada sar pe saya fagan

    jab teri KHamushi ke maani ke honTon se Tapke hue

    dudh ke chand qatre samundar bane

    baadbanon ke aaghosh khole hue kashtiyan chal paDin

    tishnagi ke jaziron pe saya kahan

    subh ka mom pighla to KHwabon ke dil bujh gae

    bujh gai raat bhi

    bujh gai lafz ke hath ki baat bhi

    lafz maidan mein sar-nigun rah gae

    sangsari ki lazzat lahu ban gai

    kaun poshida jazbon ki chilman bane

    lafz ki chhanw mein koi suraj Dhale

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    lafz ki chhanw mein Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now