aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

last call

Wasi Shah

last call

Wasi Shah

MORE BYWasi Shah

    kal hamesha tarah us ne kahā ye phone par

    maiñ bahut masrūf huuñ mujh ko bahut se kaam haiñ

    is liye tum aao milne maiñ to aa saktī nahīñ

    har rivāyat toḌ kar is baar maiñ ne kah diyā

    tum jo ho masrūf to maiñ bhī bahut masrūf huuñ

    tum jo ho mash.hūr to maiñ bhī bahut ma.arūf huuñ

    tum agar ġhamgīn ho maiñ bhī bahut ranjūr huuñ

    tum thakan se chuur to maiñ bhī thakan se chuur huuñ

    jān-e-man hai vaqt merā bhī bahut qīmtī

    kuchh purāne dostoñ ne milne aanā hai abhī

    maiñ bhī ab fāriġh nahīñ mujh ko bhī lākhoñ kaam haiñ

    varna kahne ko to sab lamhe tumhāre naam haiñ

    merī āñkheñ bhī bahut bojhal haiñ sonā hai mujhe

    ratjagoñ ke ba.ad ab nīñdoñ meñ khonā hai mujhe

    maiñ lahū apnī anāoñ bahā saktā nahīñ

    tum nahīñ ātīñ to milne maiñ bhī aa saktā nahīñ

    us ko ye kah ke 'vasī' maiñ ne receiver rakh diyā

    aur phir apnī anā ke paañv pe sar rakh diyā

    kal hamesha ki tarah us ne kaha ye phone par

    main bahut masruf hun mujh ko bahut se kaam hain

    is liye tum aao milne main to aa sakti nahin

    har riwayat toD kar is bar main ne kah diya

    tum jo ho masruf to main bhi bahut masruf hun

    tum jo ho mashhur to main bhi bahut maruf hun

    tum agar ghamgin ho main bhi bahut ranjur hun

    tum thakan se chur to main bhi thakan se chur hun

    jaan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi qimti

    kuchh purane doston ne milne aana hai abhi

    main bhi ab farigh nahin mujh ko bhi lakhon kaam hain

    warna kahne ko to sab lamhe tumhaare nam hain

    meri aankhen bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe

    ratjagon ke baad ab nindon mein khona hai mujhe

    main lahu apni anaon ka baha sakta nahin

    tum nahin aatin to milne main bhi aa sakta nahin

    us ko ye kah ke 'wasi' main ne receiwer rakh diya

    aur phir apni ana ke panw pe sar rakh diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now