Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lekin

Adil Mansuri

lekin

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    Interesting Fact

    Sher-o-Hikmat- Hyderabad

    kaalī ainak lagā.e ghūmte rahnā sūraj meñ saḌkoñ par hoTaloñ meñ

    theateroñ meñ masjidoñ meñ dukānoñ meñ railway platform par

    bhaTiyār galiyoñ meñ shāmil honā bujhe bujhe chehroñ vaalī bhiiḌ meñ tākte rahnā

    safed dīvāroñ ko akele lāya.anī hai sab kuchh aur jo dikhā.ī detā hai

    vo nahīñ hai phir bhī dikhā.ī detā hai koī farq nahīñ paḌtā paañv haiñ jurābeñ

    na hone se life aur Time na paḌhne se yahī kyā kam hai ki sub.h se

    shaam tak jam.a karte haiñ lafzoñ ko radio sunte haiñ aur dekhte haiñ mire

    hue kabūtar aañkh schōl se lauTte hue bachche sharāb jhiil meñ tairte

    shikāre pachās se kam sher ġhazal nahīñ likhte firāq aaj bhī qabā.ilī

    kamar se bāñdhe phirte haiñ chāleñ gaz shalvār kyā hotā hai naam se

    sher kahne se din-bhar ūñghte rahne se kitābeñ sūñghne se

    taash khelne maza aur hai ahamadabād ho lahore har jagah hotā hai

    sūraj ghar baiThe gañgā hai bhaa.ī congress meñ phuuT paḌe saat

    hazār insān maar diye jaa.eñ bhūke uThte haiñ har sub.h bistar se kisī ne

    dekhe haiñ baiket aur picasso kabaDDī ke maidān meñ gambarsong ko

    istirī karte hue nickson se le kar murār-jī tak koī bhī rok na sakā

    chhīñk aur khāñsī ab āñkheñ khol dījiye hazrat dekhiye puurā

    america chhīñk rahā hai khāñs rahā hai idhar dekhiye ye hindostān

    bhī chhī.k rahā hai khāñs rahā hai khāñs rahā hai chhī.k rahā hai

    kahāñ se shurūa huī hai tārīḳh aur kahāñ kar ruknā hai logoñ ko

    udaas rahtī haiñ hāmila aurteñ bas aur cinema qatār meñ gher rakkhī hai

    zamīn bhikāriyoñ ne aur mañgāo charas aur gāñjā phir bhī alag karnā mushkil

    hai purānī ko new-delhi se lāshoñ ko dekh kar mahfūz nahīñ hote tum kaise

    aadmī ho kahāñ ga.iiñ vo tavā.ifeñ kahāñ ga.e vo qavvāl ma.anī to har lafz

    meñ maujūd hai lekin

    kali ainak lagae ghumte rahna suraj mein saDkon par hoTalon mein

    theateron mein masjidon mein dukanon mein railway platform par

    bhaTiyar galiyon mein shamil hona bujhe bujhe chehron wali bhiD mein takte rahna

    safed diwaron ko akele layani hai sab kuchh aur jo dikhai deta hai

    wo nahin hai phir bhi dikhai deta hai koi farq nahin paDta panw hain juraben

    na hone se life aur Time na paDhne se yahi kya kam hai ki subh se

    sham tak jama karte hain lafzon ko radio sunte hain aur dekhte hain mere

    hue kabutar ki aankh school se lauTte hue bachche sharab ki jhil mein tairte

    shikare pachas se kam sher ki ghazal nahin likhte firaq aaj bhi qabaili

    kamar se bandhe phirte hain chaalen gaz ki shalwar kya hota hai nam se

    ya sher kahne se ya din-bhar unghte rahne se ya kitaben sunghne se

    tash khelne ka maza hi aur hai ahamadabaad ho ya lahore har jagah hota hai

    suraj ghar baiThe ganga hai bhai congress mein phuT paDe ya sat

    hazar insan mar diye jaen bhuke uThte hain har subh bistar se kisi ne

    dekhe hain baiket aur picasso kabaDDi ke maidan mein ya gambarsong ko

    istiri karte hue nickson se le kar murar-ji tak koi bhi rok na saka

    chhink aur khansi ab aankhen khol dijiye hazrat dekhiye pura

    america chhink raha hai khans raha hai idhar dekhiye ye hindostan

    bhi chhik raha hai khans raha hai khans raha hai chhik raha hai

    kahan se shurua hui hai tariKH aur kahan ja kar rukna hai logon ko

    udas rahti hain hamila aurten bas aur cinema ki qatar mein gher rakkhi hai

    zamin bhikariyon ne aur mangao charas aur ganja phir bhi alag karna mushkil

    hai purani ko new-delhi se lashon ko dekh kar mahfuz nahin hote tum kaise

    aadmi ho kahan gain wo tawaifen kahan gae wo qawwal mani to har lafz

    mein maujud hai lekin

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 32)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now