Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bilkul Thik hun sohni

Khalid Mubashshir

main bilkul Thik hun sohni

Khalid Mubashshir

MORE BYKhalid Mubashshir

    tumhārā ek message whatsapp par muddatoñ ke ba.ad aayā thā

    ye likkhā thā ki

    busy thā maiñ so reply na kar paayā

    zarā us vaqt kuchh sāñsoñ tuġhyānī barpā thī

    mujhe kuchh dhaḌkanoñ ko bhī zarā tartīb denā thā

    mobile scrēn us vaqt dhundlī ho ga.ī thī kuchh

    busy thā maiñ so reply na kar paayā

    so sorry ai mirī sohnī

    suno tum ne ye likkhā thā ki

    maiñ bilkul Thiik huuñ sohnī

    tumhārī yaad aatī nahīñ mujh ko

    so bilkul Thiik rahtā huuñ

    magar haañ jab zarā maiñ saañs letā huuñ

    zarā jab dil dhaḌaktā hai

    to phir tum yaad aatī ho

    magar is ke alāva Thiik rahtā huuñ

    zarā sar meñ tanāv kaifiyyat to rahtī hai

    ragoñ meñ bhī khiñchāo zarā rahtā hai ab aksar

    magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī

    zarā jab saañs letā huuñ to andar kuchh chubhan hone lagtī hai

    kahīñ kuchh zaḳhm hogā

    magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī

    zarā bas dil dhaḌaktā hai to siine meñ kisī siskiyāñ mujh ko sunā.ī dene lagtī haiñ

    magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī

    are haañ kal maiñ ā.īne ke aage jab zarā aayā

    vahāñ ik ajnabī chehra nazar aayā

    bahut zard chehra

    aur us aañkh ke halqe meñ gaDDhe se nazar aa.e

    ajab vahshat Tapaktī thī

    vahāñ se bhaag aayā maiñ

    magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī

    suno phir bhī maiñ kal ik doctor se ehtiyātan mil bhī aayā huuñ

    vo kahte haiñ ki ghabrāne koī baat bilkul bhī nahīñ is meñ

    zarā bas saañs tham jaa.e

    zarā dhaḌkan bhī jam jaa.e

    to phir sab kuchh hamesha ke liye Thiik ho jaa.e

    tumhaara ek message whatsapp par muddaton ke baad aaya tha

    ye likkha tha ki

    busy tha main so reply na kar paya

    zara us waqt kuchh sanson ki tughyani si barpa thi

    mujhe kuchh dhaDkanon ko bhi zara tartib dena tha

    mobile screen us waqt dhundli ho gai thi kuchh

    busy tha main so reply na kar paya

    so sorry ai meri sohni

    suno tum ne ye likkha tha ki

    main bilkul Thik hun sohni

    tumhaari yaad hi aati nahin mujh ko

    so bilkul Thik rahta hun

    magar han jab zara main sans leta hun

    zara jab dil dhaDakta hai

    to phir tum yaad aati ho

    magar is ke alawa Thik rahta hun

    zara sar mein tanaw ki si kaifiyyat to rahti hai

    ragon mein bhi khinchao sa zara rahta hai ab aksar

    magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni

    zara jab sans leta hun to andar kuchh chubhan si hone lagti hai

    kahin kuchh zaKHm sa hoga

    magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni

    zara bas dil dhaDakta hai to sine mein kisi ki siskiyan mujh ko sunai dene lagti hain

    magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni

    are han kal main aaine ke aage jab zara aaya

    wahan ek ajnabi chehra nazar aaya

    bahut hi zard sa chehra

    aur us ki aankh ke halqe mein gaDDhe se nazar aae

    ajab wahshat Tapakti thi

    wahan se bhag aaya main

    magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni

    suno phir bhi main kal ek doctor se ehtiyatan mil bhi aaya hun

    wo kahte hain ki ghabrane ki koi baat bilkul bhi nahin is mein

    zara bas sans tham jae

    zara dhaDkan bhi jam jae

    to phir sab kuchh hamesha ke liye hi Thik ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now