aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun

Meeraji

main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun

Meeraji

MORE BYMeeraji

    maiñ jinsī khel ko sirf ik tan-āsānī samajhtā huuñ

    zarīya aur hai ma.abūd se milne duniyā meñ

    taḳhayyul baḌā sāgar tasavvur ke hasīñ jhoñke

    liye aate haiñ bārish meñ tamannā.eñ ibādat

    magar puurī nahīñ hotī tamannā dil chāhat

    kisī aurat pairāhan kisī ḳhalvat ḳhushbueñ

    kisī ik lafz-e-be-ma.anī mīThī mīThī sargoshī

    yahī chīzeñ mire ġhamgīñ ḳhayāloñ par hamesha chhā.ī rahtī haiñ

    ibādat tarīqa harkateñ haiñ tishna o mub.ham

    kabhī rūh-e-sanam bedār ḳhvāb-e-marg-e-muhmal se

    kisī indar-sabhā laakh pariyāñ aa ke bahlā.eñ

    lubhāte naach nācheñ aur rasīle raag bhī gaa.eñ

    magar ye murda-dil aadī hai bas ġhamgīñ ḳhayāloñ

    ghaTā aatī nahīñ ḳhushiyoñ bārish nahīñ saktī

    mirī rūh-e-hazīñ mahkūm hai apne ta.assur

    zarīya aur hai ma.abūd se milne duniyā meñ

    maiñ jinsī khel ko kyuuñ ik tan-āsānī samajhtā huuñ

    kabhī insāñ umr-e-muḳhtasar par ġhaur kartā huuñ

    kabhī faanī tamannāoñ jhīloñ meñ yūñhī khoyā phirtā huuñ

    main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun

    zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein

    taKHayyul ka baDa sagar tasawwur ke hasin jhonke

    liye aate hain barish mein tamannaen ibaadat ki

    magar puri nahin hoti tamanna dil ki chahat ki

    kisi aurat ka pairahan kisi KHalwat ki KHushbuen

    kisi ek lafz-e-be-mani ki miThi miThi sargoshi

    yahi chizen mere ghamgin KHayalon par hamesha chhai rahti hain

    ibaadat ka tariqa harkaten hain tishna o mubham

    kabhi ruh-e-sanam bedar KHwab-e-marg-e-muhmal se

    kisi indar-sabha ki lakh pariyan aa ke bahlaen

    lubhate nach nachen aur rasile rag bhi gaen

    magar ye murda-dil aadi hai bas ghamgin KHayalon ka

    ghaTa aati nahin KHushiyon ki barish la nahin sakti

    meri ruh-e-hazin mahkum hai apne tassur ki

    zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein

    main jinsi khel ko kyun ek tan-asani samajhta hun

    kabhi insan ki umr-e-muKHtasar par ghaur karta hun

    kabhi fani tamannaon ki jhilon mein yunhi khoya sa phirta hun

    Source:

    Kulliyat-e-Meeraji (Pg. 530)

      • Publisher: Urdu Markaz, London
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now