Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manazir KHub-surat hain

Fatima Hasan

manazir KHub-surat hain

Fatima Hasan

MORE BYFatima Hasan

    manāzir ḳhūb-sūrat haiñ

    chalo chhū kar inheñ dekheñ

    inheñ mahsūs karne ke liye

    āñkhoñ ko rakh deñ narm sabze par

    laboñ ko surḳh phūloñ par

    havā meñ ḳhushbuoñ lams

    jo gardan ko chhūtā hai

    use saare badan par phail jaane deñ

    jahāñ par paañv paḌte haiñ

    vahāñ talvoñ se shabnam namī āñkhoñ talak aa.e

    to phir sabze pe rakkhī aañkh se pairoñ talak pahuñche

    inhīñ meñ jazb ho jā.ūñ

    kisī behad hasīñ manzar meñ

    gahrī niiñd so jā.ūñ,

    manazir KHub-surat hain

    chalo chhu kar inhen dekhen

    inhen mahsus karne ke liye

    aankhon ko rakh den narm sabze par

    labon ko surKH phulon par

    hawa mein KHushbuon ka lams

    jo gardan ko chhuta hai

    use sare badan par phail jaane den

    jahan par panw paDte hain

    wahan talwon se shabnam ki nami aankhon talak aae

    to phir sabze pe rakkhi aankh se pairon talak pahunche

    inhin mein jazb ho jaun

    kisi behad hasin manzar mein

    gahri nind so jaun,

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Fatima Hasan

    Fatima Hasan

    RECITATIONS

    Fatima Hasan

    Fatima Hasan,

    Fatima Hasan

    manazir KHub-surat hain Fatima Hasan

    related content

    Nazm

    manzar se pas manzar tak

    khiDki par mahtab Tika tha

    Mohammad Ahmad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now