aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mata-e-raegan

Akhtarul Iman

mata-e-raegan

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    ye dard-e-zindagī kis amānat hai kise de duuñ

    koī vāris nahīñ is matā-e-rā.egāñ hai ye

    masīhā ab na ā.eñge yahī nashtar rag-e-jāñ meñ

    ḳhalish bantā rahegā merī sāñsoñ meñ nihāñ hai ye

    ḳhudāyā ham se pahle log bhī jo is zamīñ par the

    yūñhī pāmāl hote the, jo is ke ba.ad ā.eñge

    umīd-e-sub.h ke ḳhanjar se zaḳhmī ho ke jā.eñge?

    (kahāñ kar rukegā qāfila in sogvāroñ kaa)

    ye phir bhī tere bande haiñ tirī hamd gā.eñge

    inheñ āñkheñ to de haiñ basārat bhī inheñ de de

    tujhe sab DhūñDte haiñ is tarah andhe haiñ sab jaise

    isī kore varaq par kuchh ibārat bhī unheñ de de

    khaḌā hai muñh kiye mashriq jānib, koī maġhrib

    (mirī tasvīr meñ in chīḳhte rañgoñ aisī kyā zarūrat thii)

    ḳhudāyā baḳhsh de in be-gunāhoñ ke gunāhoñ ko

    ye ma.anī DhūñDte haiñ kashmakash meñ raat aur din

    haqīqat ko samajhnā chāhte haiñ saal aur sin

    ye sab majbūr haiñ in par dar-e-tauba khulā rakhnā

    ye duniyā ḳhauf aur lālach pe jis niiv rakkhī hai

    isī miTTī se phūTe haiñ isī dhartī ke paale haiñ

    ujālā bhī yahī haiñ is zamīñ aur añdherā bhī

    yahī shahkār haiñ terā yahī paañv ke chhāle haiñ

    (ye sab ke sab libās-e-fāḳhira meñ mailī bheḌeñ haiñ)

    ilāh-al-ālamīñ in ḳhatā se dar-guzar karnā

    bahut māzūr haiñ ye ḳhud-nigar apnī jibillat se

    muqaddar in hai shaam o sahar ko roz sar karnā

    masā.ī in sīm-o-zar ke Dheroñ meñ badal denā

    tire paas aa.eñ, motī ke mahl mehnat phal denā

    ye dard-e-zindagi kis ki amanat hai kise de dun

    koi waris nahin is ka mata-e-raegan hai ye

    masiha ab na aaenge yahi nashtar rag-e-jaan mein

    KHalish banta rahega meri sanson mein nihan hai ye

    KHudaya hum se pahle log bhi jo is zamin par the

    yunhi pamal hote the, jo is ke baad aaenge

    umid-e-subh ke KHanjar se zaKHmi ho ke jaenge?

    (kahan ja kar rukega qafila in sogwaron ka)

    ye phir bhi tere bande hain teri hi hamd gaenge

    inhen aankhen to de di hain basarat bhi inhen de de

    tujhe sab DhunDte hain is tarah andhe hain sab jaise

    isi kore waraq par kuchh ibarat bhi unhen de de

    khaDa hai munh kiye mashriq ki jaanib, koi maghrib ki

    (miri taswir mein in chiKHte rangon ki aisi kya zarurat thi)

    KHudaya baKHsh de in be-gunahon ke gunahon ko

    ye mani DhunDte hain kashmakash mein raat aur din ki

    haqiqat ko samajhna chahte hain sal aur sin ki

    ye sab majbur hain in par dar-e-tauba khula rakhna

    ye duniya KHauf aur lalach pe jis ki niw rakkhi hai

    isi miTTi se phuTe hain isi dharti ke pale hain

    ujala bhi yahi hain is zamin ka aur andhera bhi

    yahi shahkar hain tera yahi panw ke chhaale hain

    (ye sab ke sab libas-e-faKHira mein maili bheDen hain)

    ilah-al-alamin in ki KHata se dar-guzar karna

    bahut mazur hain ye KHud-nigar apni jibillat se

    muqaddar in ka hai sham o sahar ko roz sar karna

    masai in ki sim-o-zar ke Dheron mein badal dena

    tere pas aaen, moti ke mahl mehnat ka phal dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now