Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maulana

Habib Jalib

maulana

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    bahut maiñ ne sunī hai aap taqrīr maulānā

    magar badlī nahīñ ab tak mirī taqdīr maulānā

    ḳhudārā shukr talqīn apne paas rakkheñ

    ye lagtī hai mire siine pe ban kar tiir maulānā

    nahīñ maiñ bol saktā jhuuT is darja DhiTā.ī se

    yahī hai jurm merā aur yahī taqsīr maulānā

    haqīqat kyā hai ye to aap jāneñ ḳhudā jaane

    sunā hai jimmy-carter aap hai piir maulānā

    zamīneñ hoñ vaDeroñ mashīneñ hoñ luTeroñ

    ḳhudā ne likh ke hai ye tumheñ tahrīr maulānā

    karoḌoñ kyuuñ nahīñ mil kar filistīñ ke liye laḌte

    duā se faqat kaTtī nahīñ zanjīr maulānā

    bahut main ne suni hai aap ki taqrir maulana

    magar badli nahin ab tak meri taqdir maulana

    KHudara shukr ki talqin apne pas hi rakkhen

    ye lagti hai mere sine pe ban kar tir maulana

    nahin main bol sakta jhuT is darja DhiTai se

    yahi hai jurm mera aur yahi taqsir maulana

    haqiqat kya hai ye to aap jaanen ya KHuda jaane

    suna hai jimmy-carter aap ka hai pir maulana

    zaminen hon waDeron ki mashinen hon luTeron ki

    KHuda ne likh ke di hai ye tumhein tahrir maulana

    karoDon kyun nahin mil kar filistin ke liye laDte

    dua hi se faqat kaTti nahin zanjir maulana

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Jalib

    Habib Jalib

    Source:

    Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 181)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now