Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jatri

Meeraji

jatri

Meeraji

MORE BYMeeraji

    ek aayā gayā dūsrā aa.egā der se dekhtā huuñ yūñhī raat us guzar jā.egī

    maiñ khaḌā huuñ yahāñ kis liye mujh ko kyā kaam hai yaad aatā nahīñ yaad bhī TimTimātā

    huā ik diyā ban ga.ī jis ruktī huī aur jhijaktī huī har kiran be-sadā qahqaha hai

    magar mere kānoñ ne kaise use sun liyā ek āñdhī chalī chal ke miT

    bhī ga.ī aaj tak mere kānoñ meñ maujūd hai saa.eñ saa.eñ machaltī huī aur

    ubaltī huī phailtī phailtī der se maiñ khaḌā huuñ yahāñ ek aayā gayā

    dūsrā aa.egā raat us guzar jā.egī ek hañgāma barpā hai dekheñ jidhar

    aa rahe haiñ ka.ī log chalte hue aur Tahalte hue aur rukte hue phir se

    baḌhte hue aur lapakte hue aa rahe rahe haiñ idhar se udhar aur udhar se

    idhar jaise dil meñ mire dhyān lahar se ek tūfān hai vaise āñkheñ

    mirī dekhtī chalī rahī haiñ ki ik TimTimāte diye kiran zindagī ko phisalte

    hue aur girte hue Dhab se zāhir kiye rahī hai mujhe dhyān

    aatā hai ab tīrgī ik ujālā banī hai magar is ujāle se ristī chalī rahī

    haiñ vo amrit būñdeñ jinheñ maiñ hathelī pe apnī sambhāle rahā huuñ hathelī

    magar TimTimātā huā ik diyā ban ga.ī thī lapak se ujālā huā lau girī phir añdherā

    chhāne lagā baiThtā baiThtā baiTh kar ek pal meñ uThtā huā jaise āñdhī ke

    tīkhe thapeḌoñ se darvāze ke taaq khulte raheñ band hote raheñ

    phaḌ.phaḌāte hue tā.ir-e-zaḳhm-ḳhurda mānind maiñ dekhtā rahā ek aayā

    gayā dūsrā aa.egā soch aa.ī mujhe paañv baḌhne se inkār karte

    ga.e maiñ khaḌā rahā dil meñ ik buuñd ne ye kahā raat yūñhī guzar jā.egī

    dil ik buuñd ko aañkh meñ le ke maiñ dekhtā rahā phaḌ.phaḌāte hue taa.ir

    zaḳhm-ḳhurda mānind darvāze ke taaq ik baar jab mil ga.e mujh ko āhista āhista

    ehsās hone lagā ab ye zaḳhmī parinda na taḌpegā lekin mire dil ko har vaqt

    taḌpā.egā maiñ hathelī pe apnī sambhāle rahūñgā vo amrit būñdeñ jinheñ aañkh

    se merī risnā thā lekin mirī zindagī TimTimātā huā ik diyā ban ga.ī jis ruktī huī

    aur jhijaktī huī har kiran be-sadā qahqaha hai ki is tīrgī meñ koī baat aisī nahīñ

    jis ko pahle añdhere meñ dekhā ho maiñ ne safar ye ujāle añdhere chaltā

    rahā hai to chaltā rahegā yahī rasm hai raah ek aayā gayā dūsrā

    aa.egā raat aise guzar jā.egī TimTimāte sitāre batāte the raste

    naddī bahī rahī hai bahe is uljhan se aise nikal koī sīdhā manzil pe jaatā

    thā lekin ka.ī qāfile bhuul jaate the anjum ke daur-e-yagānā ke mub.ham ishāre magar vo

    bhī chalte hue aur baḌhte hue shaam se pahle dekh lete the maqsūd band

    darvāza khulne lagā hai magar maiñ khaḌā huuñ yahāñ mujh ko kyā kaam hai merā darvāza

    khultā nahīñ hai mujhe phaile sahrā soī huī reg zarra zarra yahī kah rahā hai

    ke aise ḳharābe meñ sūkhī hathelī hai ik aisā talvā ke jis ko kisī ḳhaar nok chubhne pe bhī

    kah nahīñ saktī mujh ko koī buuñd apne lahū pilā do magar maiñ khaḌā huuñ yahāñ kis liye

    kaam koī nahīñ hai to maiñ bhī in aate hue aur jaate hue ek do tiin

    lākhoñ bagūloñ meñ mil kar yūñhī chalte chalte kahīñ Duub jaatā ke jaise yahāñ

    bahtī lahroñ meñ kashtī har ek mauj ko thaam letī hai apnī hathelī ke phaile kañval

    meñ mujhe dhyān aatā nahīñ hai ki is raah meñ to har ik jaane vaale ke bas

    meñ hai manzil maiñ chal duuñ chalūñ aa.iye aa.iye aap kyuuñ is jagah

    aise chup-chāp tanhā khaḌe haiñ agar aap kahiye to ham ik achhūtī Tahnī se

    do phuul bas bas mujhe is koī zarūrat nahīñ hai maiñ ik

    dost rāsta dekhtā huuñ magar vo chalā bhī gayā hai mujhe phir bhī

    taskīn aatī nahīñ hai ki maiñ ek sahrā bāshinda mālūm hone lagā huuñ ḳhud

    apnī nazar meñ mujhe ab koī band darvāza khultā nazar aa.e ye baat mumkin nahīñ hai

    maiñ ik aur āñdhī mushtāq huuñ jo mujhe apne parde meñ yaksar chhupā le

    mujhe ab ye mahsūs hone lagā hai suhānā samāñ jitnā bas meñ thā mere

    vo sab ek bahtā jhoñkā banā hai jise haath mere nahīñ rok sakte

    ki merī hathelī meñ amrit būñdeñ to baaqī nahīñ haiñ faqat ek phailā huā

    ḳhushk be-barg be-rañg sahrā hai jis meñ ye mumkin nahīñ maiñ kahūñ

    ek aayā gayā dūsrā aa.egā raat merī guzar jā.egī

    ek aaya gaya dusra aaega der se dekhta hun yunhi raat us ki guzar jaegi

    main khaDa hun yahan kis liye mujh ko kya kaam hai yaad aata nahin yaad bhi TimTimata

    hua ek diya ban gai jis ki rukti hui aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai

    magar mere kanon ne kaise use sun liya ek aandhi chali chal ke miT

    bhi gai aaj tak mere kanon mein maujud hai saen saen machalti hui aur

    ubalti hui phailti phailti der se main khaDa hun yahan ek aaya gaya

    dusra aaega raat us ki guzar jaegi ek hangama barpa hai dekhen jidhar

    aa rahe hain kai log chalte hue aur Tahalte hue aur rukte hue phir se

    baDhte hue aur lapakte hue aa rahe ja rahe hain idhar se udhar aur udhar se

    idhar jaise dil mein mere dhyan ki lahar se ek tufan hai waise aankhen

    meri dekhti hi chali ja rahi hain ki ek TimTimate diye ki kiran zindagi ko phisalte

    hue aur girte hue Dhab se zahir kiye ja rahi hai mujhe dhyan

    aata hai ab tirgi ek ujala bani hai magar is ujale se risti chali ja rahi

    hain wo amrit ki bunden jinhen main hatheli pe apni sambhaale raha hun hatheli

    magar TimTimata hua ek diya ban gai thi lapak se ujala hua lau giri phir andhera sa

    chhane laga baiThta baiThta baiTh kar ek hi pal mein uThta hua jaise aandhi ke

    tikhe thapeDon se darwaze ke taq khulte rahen band hote rahen

    phaDphaDate hue tair-e-zaKHm-KHurda ki manind main dekhta hi raha ek aaya

    gaya dusra aaega soch aai mujhe panw baDhne se inkar karte

    gae main khaDa hi raha dil mein ek bund ne ye kaha raat yunhi guzar jaegi

    dil ki ek bund ko aankh mein le ke main dekhta hi raha phaDphaDate hue tair

    zaKHm-KHurda ki manind darwaze ke taq ek bar jab mil gae mujh ko aahista aahista

    ehsas hone laga ab ye zaKHmi parinda na taDpega lekin mere dil ko har waqt

    taDpaega main hatheli pe apni sambhaale rahunga wo amrit ki bunden jinhen aankh

    se meri risna tha lekin meri zindagi TimTimata hua ek diya ban gai jis ki rukti hui

    aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai ki is tirgi mein koi baat aisi nahin

    jis ko pahle andhere mein dekha ho main ne safar ye ujale andhere ka chalta

    raha hai to chalta rahega yahi rasm hai rah ki ek aaya gaya dusra

    aaega raat aise guzar jaegi TimTimate sitare batate the raste ki

    naddi bahi ja rahi hai bahe ja is uljhan se aise nikal ja koi sidha manzil pe jata

    tha lekin kai qafile bhul jate the anjum ke daur-e-yagana ke mubham ishaare magar wo

    bhi chalte hue aur baDhte hue sham se pahle hi dekh lete the maqsud ka band

    darwaza khulne laga hai magar main khaDa hun yahan mujh ko kya kaam hai mera darwaza

    khulta nahin hai mujhe phaile sahra ki soi hui reg ka zarra zarra yahi kah raha hai

    ke aise KHarabe mein sukhi hatheli hai ek aisa talwa ke jis ko kisi KHar ki nok chubhne pe bhi

    kah nahin sakti mujh ko koi bund apne lahu ki pila do magar main khaDa hun yahan kis liye

    kaam koi nahin hai to main bhi in aate hue aur jate hue ek do tin

    lakhon bagulon mein mil kar yunhi chalte chalte kahin Dub jata ke jaise yahan

    bahti lahron mein kashti har ek mauj ko tham leti hai apni hatheli ke phaile kanwal

    mein mujhe dhyan aata nahin hai ki is rah mein to har ek jaane wale ke bas

    mein hai manzil main chal dun chalun aaiye aaiye aap kyun is jagah

    aise chup-chap tanha khaDe hain agar aap kahiye to hum ek achhuti si Tahni se

    do phul bas bas mujhe is ki koi zarurat nahin hai main ek

    dost ka rasta dekhta hun magar wo chala bhi gaya hai mujhe phir bhi

    taskin aati nahin hai ki main ek sahra ka bashinda malum hone laga hun KHud

    apni nazar mein mujhe ab koi band darwaza khulta nazar aae ye baat mumkin nahin hai

    main ek aur aandhi ka mushtaq hun jo mujhe apne parde mein yaksar chhupa le

    mujhe ab ye mahsus hone laga hai suhana saman jitna bas mein tha mere

    wo sab ek bahta sa jhonka bana hai jise hath mere nahin rok sakte

    ki meri hatheli mein amrit ki bunden to baqi nahin hain faqat ek phaila hua

    KHushk be-barg be-rang sahra hai jis mein ye mumkin nahin main kahun

    ek aaya gaya dusra aaega raat meri guzar jaegi

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Shamsur Rahman Faruqi

    jatri Shamsur Rahman Faruqi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now