Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera ghar mera virana

Khalilur Rahman Azmi

mera ghar mera virana

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    Interesting Fact

    Selected from 'Kaghazi Pairahan)

    dīdanī hai ye mirā ghar mirā vīrāna bhī

    is guzargāh pe kuchh der Thahar sayyāh

    mujh ko ma.alūm hai saarā jahāñ dekh chukā

    haañ ufuq-tā-ba-ufuq saarī zamīñ dekhī hai

    ne aivān bhī dekhe haiñ khañDar bhī dekhe

    vādiyāñ dekhīñ pahāḌoñ jabīñ dekhī hai

    merī duniyā meñ zarā dekh ki is duniyā ko

    dekhne vāloñ ne ab tak kabhī dekhā nahīñ

    maiñ fasāna huuñ koī chāhe to mujh ko likh le

    par mirā haal kisī ne kabhī pūchhā nahīñ

    tujh ko ai dost dikhā.ūñ ki kahāñ rahtā huuñ

    ye vo ghar hai ki jo shāyad kabhī ho saktā thā ghar

    tujh ko shāyad na nazar aa.e magar ye sach hai

    is ke siine meñ haiñ poshīda mire la.al-o-gohar

    ye zamīñ ujḌī huī TuuTī huī hai dīvār

    par isī kokh meñ dhartī hai sarmāya mirā

    maiñ jo is vaqt nazar aatā huuñ ye maiñ nahīñ huuñ

    merī tasvīr hai dhundlā hai ye saaya mirā

    mirī tasvīr āñkhoñ meñ basā hai ik shahr

    is meñ haiñ ūñche mahal jo maiñ banā saktā thā

    is meñ haiñ merī vo ḳhushiyāñ ki jo mil saktī thiiñ

    is meñ hai merī vo manzil jo maiñ saktā thā

    is meñ haiñ merī mohabbat ke vo saare armāñ

    jin se mahrūm rahā merā ye bedār shabāb

    is meñ haiñ merī kitābeñ ki jo likkhī na ga.iiñ

    is meñ haiñ mere vo ash.ār nahīñ jin javāb

    haañ yahīñ dafn haiñ vo saarī kitābeñ jin ko

    zindagī detī jo fursat to maiñ likh saktā thā

    isī miTTī meñ haiñ vo nazmeñ vo ġhazleñ merī

    jin ko kahne koī detā to maiñ kah saktā thā

    mere sayyāh bahut ne maqābir dekhe

    sach kahā sadiyoñ meñ ik tāj-mahal bantā hai

    haañ magar merī tarah roz insāñ koī

    zinda rahne ke liye dahr meñ mar jaatā hai

    didani hai ye mera ghar mera virana bhi

    is guzargah pe kuchh der Thahar ja sayyah

    mujh ko malum hai tu sara jahan dekh chuka

    han ufuq-ta-ba-ufuq sari zamin dekhi hai

    tu ne aiwan bhi dekhe hain khanDar bhi dekhe

    wadiyan dekhin pahaDon ki jabin dekhi hai

    meri duniya mein zara dekh ki is duniya ko

    dekhne walon ne ab tak kabhi dekha hi nahin

    main fasana hun koi chahe to mujh ko likh le

    par mera haal kisi ne kabhi puchha hi nahin

    tujh ko ai dost dikhaun ki kahan rahta hun

    ye wo ghar hai ki jo shayad kabhi ho sakta tha ghar

    tujh ko shayad na nazar aae magar ye sach hai

    is ke sine mein hain poshida mere lal-o-gohar

    ye zamin ujDi hui TuTi hui hai diwar

    par isi kokh mein dharti ki hai sarmaya mera

    main jo is waqt nazar aata hun ye main nahin hun

    meri taswir hai dhundla sa hai ye saya mera

    meri taswir ki aankhon mein basa hai ek shahr

    is mein hain unche mahal jo main bana sakta tha

    is mein hain meri wo KHushiyan ki jo mil sakti thin

    is mein hai meri wo manzil jo main pa sakta tha

    is mein hain meri mohabbat ke wo sare arman

    jin se mahrum raha mera ye bedar shabab

    is mein hain meri kitaben ki jo likkhi na gain

    is mein hain mere wo ashaar nahin jin ka jawab

    han yahin dafn hain wo sari kitaben jin ko

    zindagi deti jo fursat to main likh sakta tha

    isi miTTi mein hain wo nazmen wo ghazlen meri

    jin ko kahne koi deta to main kah sakta tha

    mere sayyah bahut tu ne maqabir dekhe

    sach kaha sadiyon mein ek taj-mahal banta hai

    han magar meri tarah roz hi insan koi

    zinda rahne ke liye dahr mein mar jata hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam Khalil-ur-Rahman Azmi (Pg. 15)

    • Author: shaheryaar
      • Edition: 2010
      • Publisher: Uttar Pradesh, Urdua Akademi, Lucknow
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now