Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere bhi hain kuchh KHwab

Noon Meem Rashid

mere bhi hain kuchh KHwab

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    us daur se is daur ke sūkhe hue dariyāoñ se

    phaile hue sahrāoñ se aur shahroñ ke vīrānoñ se

    vīrāna-garoñ se maiñ hazīñ aur udās!

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    vo ḳhvāb ki asrār nahīñ jin ke hameñ aaj bhī ma.alūm

    vo ḳhvāb jo āsūdgī-e-martaba-o-jāh se

    ālūdgī-e-gard-e-sar-e-rāh se ma.asūm

    jo ziist be-hūda kashākash se bhī hote nahīñ ma.adūm

    ḳhud ziist mafhūm!

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb

    ai kāhin-e-dānish-var o a.ālī-guhar o piir

    ne batā.ī hameñ har ḳhvāb ta.abīr

    tuune sujhā.ī ġham-e-dil-gīr tasḳhīr

    TuuTī tire hāthoñ se har ḳhauf zanjīr

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb, mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb

    kuchh ḳhvāb ki madfūn haiñ ajdād ke ḳhud-sāḳhta asmār ke nīche

    ujḌe hue maz.hab ke banā reḳhta auhām dīvār ke nīche

    shīrāz ke majzūb-e-tunak-jām ke afkār ke nīche

    tahzīb-e-nigūñ-sār ke ālām ke ambār ke nīche

    kuchh ḳhvāb haiñ āzād magar baḌhte hue nuur se mar.ūb

    ne hausla-e-ḳhūb hai ne himmat-e-nā-ḳhūb

    gar zaat se baḌh kar nahīñ kuchh bhī unheñ mahbūb

    haiñ aap is zaat ke jārūb

    zaat se mahjūb!

    kuchh ḳhvāb haiñ jo gardish-e-ālāt se jūyanda-e-tamkīn

    hai jin ke liye bandagī-e-qāzī-e-hājāt se is dahr taz.īn

    kuchh jin ke liye ġham musāvāt se insān tāmīn

    kuchh ḳhvāb ki jin havas-e-jaur hai aa.iin

    duniyā hai na diin!

    kuchh ḳhvāb haiñ parda-e-anvār magar un sahar gum

    jis aag se uThtā hai mohabbat ḳhamīr us ke sharar gum

    hai kul ḳhabar un ko magar juz ḳhabar gum

    ye ḳhvāb haiñ vo jin ke liye martaba-e-dīda-e-tar hech

    dil hech hai sar itne barābar haiñ ki sar hech

    arz-e-hunar hech!

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb

    ye ḳhvāb mire ḳhvāb nahīñ haiñ ki mire ḳhvāb haiñ kuchh aur

    kuchh aur mire ḳhvāb haiñ kuchh aur mirā daur

    ḳhvāboñ ke na.e daur meñ ne mor o malaḳh ne asad o saur

    ne lazzat-e-taslīm kasī meñ na kasī ko havas-e-jaur

    sab ke na.e taur!

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!

    har ḳhvāb saugand!

    har-chand ki vo ḳhvāb haiñ sar-basta o rū-band

    siine meñ chhupā.e hue goyā.ī-e-doshīza-e-lab-ḳhand

    har ḳhvāb meñ ajsām se afkār kaa, mafhūm se guftār paivand

    ushshāq ke lab-hā-e-azal-tishna paivastagī-e-shauq ke mānind

    (ai lamha-e-ḳhursand)

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb, mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    vo ḳhvāb haiñ āzādi-e-kāmil ke na.e ḳhvāb

    har sa.ī-e-jigar-doz ke hāsil ke na.e ḳhvāb

    aadam vilādat ke na.e jashn pe lahrāte jalājil ke na.e ḳhvāb

    is ḳhaak satvat manāzil ke na.e ḳhvāb

    sīna-e-gītī meñ na.e dil ke na.e ḳhvāb

    ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb

    mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh KHwab

    mere bhi hain kuchh KHwab

    us daur se is daur ke sukhe hue dariyaon se

    phaile hue sahraon se aur shahron ke viranon se

    virana-garon se main hazin aur udas!

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab

    mere bhi hain kuchh KHwab!

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh KHwab

    mere bhi hain kuchh KHwab

    wo KHwab ki asrar nahin jin ke hamein aaj bhi malum

    wo KHwab jo aasudgi-e-martaba-o-jah se

    aaludgi-e-gard-e-sar-e-rah se masum

    jo zist ki be-huda kashakash se bhi hote nahin madum

    KHud zist ka mafhum!

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab

    ai kahin-e-danish-war o aaali-guhar o pir

    tu ne hi batai hamein har KHwab ki tabir

    tune hi sujhai gham-e-dil-gir ki tasKHir

    TuTi tere hathon hi se har KHauf ki zanjir

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab, mere bhi hain kuchh KHwab

    mere bhi hain kuchh KHwab

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab

    kuchh KHwab ki madfun hain ajdad ke KHud-saKHta asmar ke niche

    ujDe hue mazhab ke bana reKHta auham ki diwar ke niche

    shiraaz ke majzub-e-tunak-jam ke afkar ke niche

    tahzib-e-nigun-sar ke aalam ke ambar ke niche

    kuchh KHwab hain aazad magar baDhte hue nur se marub

    ne hausla-e-KHub hai ne himmat-e-na-KHub

    gar zat se baDh kar nahin kuchh bhi unhen mahbub

    hain aap hi is zat ke jarub

    zat se mahjub!

    kuchh KHwab hain jo gardish-e-alat se juyanda-e-tamkin

    hai jin ke liye bandagi-e-qazi-e-hajat se is dahr ki tazin

    kuchh jin ke liye gham ki musawat se insan ki tamin

    kuchh KHwab ki jin ka hawas-e-jaur hai aain

    duniya hai na din!

    kuchh KHwab hain parda-e-anwar magar un ki sahar gum

    jis aag se uThta hai mohabbat ka KHamir us ke sharar gum

    hai kul ki KHabar un ko magar juz ki KHabar gum

    ye KHwab hain wo jin ke liye martaba-e-dida-e-tar hech

    dil hech hai sar itne barabar hain ki sar hech

    arz-e-hunar hech!

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab

    ye KHwab mere KHwab nahin hain ki mere KHwab hain kuchh aur

    kuchh aur mere KHwab hain kuchh aur mera daur

    KHwabon ke nae daur mein ne mor o malaKH ne asad o saur

    ne lazzat-e-taslim kasi mein na kasi ko hawas-e-jaur

    sab ke nae taur!

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab

    mere bhi hain kuchh KHwab!

    har KHwab ki saugand!

    har-chand ki wo KHwab hain sar-basta o ru-band

    sine mein chhupae hue goyai-e-doshiza-e-lab-KHand

    har KHwab mein ajsam se afkar ka, mafhum se guftar ka paiwand

    ushshaq ke lab-ha-e-azal-tishna ki paiwastagi-e-shauq ke manind

    (ai lamha-e-KHursand)

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab, mere bhi hain kuchh KHwab

    wo KHwab hain aazadi-e-kaamil ke nae KHwab

    har sai-e-jigar-doz ke hasil ke nae KHwab

    aadam ki wiladat ke nae jashn pe lahraate jalajil ke nae KHwab

    is KHak ki satwat ki manazil ke nae KHwab

    ya sina-e-giti mein nae dil ke nae KHwab

    ai ishq-e-azal-gir o abad-tab

    mere bhi hain kuchh KHwab

    mere bhi hain kuchh KHwab!

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now