aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hamdam mere dost!

Faiz Ahmad Faiz

mere hamdam mere dost!

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    gar mujhe is yaqīñ ho mire hamdam mire dost

    gar mujhe is yaqīñ ho ki tire dil thakan

    tirī āñkhoñ udāsī tere siine jalan

    merī dil-jūī mire pyaar se miT jā.egī

    gar mirā harf-e-tasallī vo davā ho jis se

    uThe phir tirā ujḌā huā be-nūr dimāġh

    terī peshānī se Dhal jaa.eñ ye tazlīl ke daaġh

    terī bīmār javānī ko shifā ho jaa.e

    gar mujhe is yaqīñ ho mire hamdam mare dost

    roz o shab shaam o sahar maiñ tujhe bahlātā rahūñ

    maiñ tujhe giit sunātā rahūñ halke shīrīñ

    ābshāroñ ke bahāroñ ke chaman-zāroñ ke giit

    āmad-e-sub.h ke, mahtāb ke, sayyāroñ ke giit

    tujh se maiñ husn-o-mohabbat hikāyāt kahūñ

    kaise maġhrūr hasīnāoñ ke barfāb se jism

    garm hāthoñ harārat meñ pighal jaate haiñ

    kaise ik chehre ke Thahre hue mānūs nuqūsh

    dekhte dekhte yak-laḳht badal jaate haiñ

    kis tarah āriz-e-mahbūb shaffāf bilor

    yak-ba-yak bāda-e-ahmar se dahak jaatā hai

    kaise gulchīñ ke liye jhuktī hai ḳhud shāḳh-e-gulāb

    kis tarah raat aivān mahak jaatā hai

    yūñhī gaatā rahūñ gaatā rahūñ terī ḳhātir

    giit buntā rahūñ baiThā rahūñ terī ḳhātir

    par mire giit tire dukh mudāvā nahīñ

    naġhma jarrāh nahīñ mūnis-o-ġham ḳhvār sahī

    giit nashtar to nahīñ marham-e-āzār sahī

    tere āzār chāra nahīñ nashtar ke sivā

    aur ye saffāk masīhā mire qabze meñ nahīñ

    is jahāñ ke kisī zī-rūh ke qabze meñ nahīñ

    haañ magar tere sivā tere sivā tere sivā

    gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mere dost

    gar mujhe is ka yaqin ho ki tere dil ki thakan

    teri aankhon ki udasi tere sine ki jalan

    meri dil-jui mere pyar se miT jaegi

    gar mera harf-e-tasalli wo dawa ho jis se

    ji uThe phir tera ujDa hua be-nur dimagh

    teri peshani se Dhal jaen ye tazlil ke dagh

    teri bimar jawani ko shifa ho jae

    gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mare dost

    roz o shab sham o sahar main tujhe bahlata rahun

    main tujhe git sunata rahun halke shirin

    aabshaaron ke bahaaron ke chaman-zaron ke git

    aamad-e-subh ke, mahtab ke, sayyaron ke git

    tujh se main husn-o-mohabbat ki hikayat kahun

    kaise maghrur hasinaon ke barfab se jism

    garm hathon ki hararat mein pighal jate hain

    kaise ek chehre ke Thahre hue manus nuqush

    dekhte dekhte yak-laKHt badal jate hain

    kis tarah aariz-e-mahbub ka shaffaf bilor

    yak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jata hai

    kaise gulchin ke liye jhukti hai KHud shaKH-e-gulab

    kis tarah raat ka aiwan mahak jata hai

    yunhi gata rahun gata rahun teri KHatir

    git bunta rahun baiTha rahun teri KHatir

    par mere git tere dukh ka mudawa hi nahin

    naghma jarrah nahin munis-o-gham KHwar sahi

    git nashtar to nahin marham-e-azar sahi

    tere aazar ka chaara nahin nashtar ke siwa

    aur ye saffak masiha mere qabze mein nahin

    is jahan ke kisi zi-ruh ke qabze mein nahin

    han magar tere siwa tere siwa tere siwa

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Urdu Studio

    Urdu Studio

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now