Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTTi se ek mukalima

Abrar Ahmad

miTTi se ek mukalima

Abrar Ahmad

MORE BYAbrar Ahmad

    maañ kahtī hai

    jab tum chhoTe the to aise achchhe the

    sab ābād gharoñ maa.eñ

    peshānī par bosa dene aatī thiiñ

    aur tumhāre jaise beToñ ḳhvāhish se

    un godeñ bharī rahā kartī thiiñ hamesha

    aur maiñ tumhāre hone rāhat ke nashe meñ

    kitnī umreñ chuur rahī thī

    ik ik lafz mire siine meñ aTkā hai

    sab kuchh yaad hai aaj

    ki maiñ ik umr nigal kar baiThā huuñ

    umr āḳhirī sarhad banjar miTTī

    jab se maañ ke hoñToñ se girte lafzoñ meñ kāñptī hai

    merī saañs taḌap uThtī hai

    us ke miTte naqsh mire andar

    kohrām ik tasvīr bane haiñ

    zindagiyoñ ke khokhle ban par

    āñsuoñ lipTī hañsī mire hoñToñ pe laraztī rahtī hai

    achchhī maañ

    umr ke chalte saa.e tazlīl meñ

    tere lahū ke ras lazzat

    tere ġhurūr saarī shakleñ

    un rastoñ meñ miTTī miTTī kar aayā huuñ

    pathrīlī saḌkoñ pe apne qadmoñ se

    ḳhud ko rauñd ke guzrā huuñ

    mere lahū ke shor meñ terī

    koī bhī pahchān nahīñ hai

    terī ujlī shabīh kuchh aise dhuñdlā.ī hai

    tujh se vasl aañkh se

    bīnā.ī zaa.il hai

    maiñ tere dardoñ maarā

    terī sūrat meñ bhī

    ik jīvan haarā

    man kahti hai

    jab tum chhoTe the to aise achchhe the

    sab aabaad gharon ki maen

    peshani par bosa dene aati thin

    aur tumhaare jaise beTon ki KHwahish se

    un ki goden bhari raha karti thin hamesha

    aur main tumhaare hone ki rahat ke nashe mein

    kitni umren chur rahi thi

    ek ek lafz mere sine mein aTka hai

    sab kuchh yaad hai aaj

    ki main ek umr nigal kar baiTha hun

    umr ki aaKHiri sarhad ki banjar miTTi

    jab se man ke honTon se girte lafzon mein kanpti hai

    meri sans taDap uThti hai

    us ke miTte naqsh mere andar

    kohram si ek taswir bane hain

    zindagiyon ke khokhle ban par

    aansuon lipTi hansi mere honTon pe larazti rahti hai

    achchhi man

    umr ke chalte sae ki tazlil mein

    tere lahu ke ras ki lazzat

    tere ghurur ki sari shaklen

    un raston mein miTTi miTTi kar aaya hun

    pathrili saDkon pe apne hi qadmon se

    KHud ko raund ke guzra hun

    mere lahu ke shor mein teri

    koi bhi pahchan nahin hai

    teri ujli shabih kuchh aise dhundlai hai

    tujh se wasl ki aankh se

    binai zail hai

    main tere dardon ka mara

    teri hi surat mein bhi

    ek jiwan haara

    Source:

    Aakhrii Din Se pehle (Pg. 73)

    • Author: Abrar Ahmed
      • Edition: 1997
      • Publisher: Tahir Aslam Gora, Gora Publishers
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now