Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil retire ho gaya

Bazagh Bihari

dil retire ho gaya

Bazagh Bihari

MORE BYBazagh Bihari

    umr fifTy year jo expire ho gayā

    husn mahfil se merā dil retire ho gayā

    kal duniyā meñ sharāfat ek tāqat thī magar

    ab sharīf insāñ taraqqī kar ke kāyer ho gayā

    tiin beTe the ḳhudā ke fazl se mere magar

    innā lillāh āḳhirī beTā bhī shā.ir ho gayā

    kizb-o-ġhībat aur ġhaban meñ zindagī to basar

    ab za.īfī meñ madīne vo zaa.er ho gayā

    ḳhabt meñ fikr-e-suḳhan ke jāgtā hai rāt-bhar

    ab to 'bāzaġh' bhī shab-e-tīra taa.ir ho gayā

    umr ka fifTy year jo expire ho gaya

    husn ki mahfil se mera dil retire ho gaya

    kal ki duniya mein sharafat ek taqat thi magar

    ab sharif insan taraqqi kar ke kayer ho gaya

    tin beTe the KHuda ke fazl se mere magar

    inna lillah aaKHiri beTa bhi shair ho gaya

    kizb-o-ghibat aur ghaban mein zindagi to ki basar

    ab zaifi mein madine ka wo zaer ho gaya

    KHabt mein fikr-e-suKHan ke jagta hai raat-bhar

    ab to 'bazagh' bhi shab-e-tira ka tair ho gaya

    Source:

    Man Khoob Mi Shanasam (Pg. 100)

    • Author: Bazagh Bihari
      • Publisher: Bharti Brothers, Kolkata
      • Year of Publication: 1999

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now