Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dum-dar nazm

Mohammad Yusuf Papa

dum-dar nazm

Mohammad Yusuf Papa

MORE BYMohammad Yusuf Papa

    ham kaheñ na kaheñ

    roz-e-raushan tarah

    dum afsāna farozāñ rahā hai ab tak

    kulbulātī huī sīmāb sifat aur subuk-rau vo dum

    kisī shā.ir ke taḳhayyul tarah bāñkī

    ḳhuub sajtī hai sag-e-lailā par

    haa.e afsos vo dum

    jo ki nalkī meñ rahī qaid pareshān-o-zubūñ bārah baras

    phir bhī niklī to vo TeḌhī niklī

    kisī mahbūb ke abrū-e-ḳhamīda tarah

    kisī shahnāz ke gesū-e-burīda tarah

    but-e-tannāz ke ausāf-e-hamīda tarah

    apne markaz taraf mā.il-e-parvāz hai dum

    dekh kar dum vo sīmāb-sifat bāñkī adā

    shā.ir-e-vaqt machal jaatā hai

    aur pahroñ vo ḳhalāoñ meñ kahīñ

    ek begāna tasavvur tarah āvāra

    saikḌoñ husn-o-mohabbat ke hasīñ naġhmoñ ko

    kaaT kar chhāñT ke mehnat se banātā hai sadā

    hū-ba-hū dum tarah

    aur dum jab mire a.asāb pe chhā jaatī hai

    hosh uḌ jaate haiñ afkār badal jaate haiñ

    saikḌoñ tarah ke hañste hue dum-dār ḳhayāl

    phir pareshān mujhe karte haiñ

    maiñ taḌap jaatā huuñ

    be-sāḳhta kah uThtā huuñ

    terī jumbish se numāyāñ hai zamīñ jumbish

    ai dum

    ālam-e-ġhaiz meñ dum jab bhī khaḌī hotī hai

    kyā qayāmat ghaḌī hotī hai

    kaañp jaatā hai jahāñ

    hosh rustam ke bhī uḌ jaate haiñ

    chaar jānib se sadā aatī hai ai dum ai dum

    ab to nīchī ho

    aur duniyā-e-mohabbat pe kar ehsān ai dum

    ya.anī mahbūb ke pīchhe lag

    taaki dum-dār ye sadiyoñ sitamgar ho jaa.e

    aur bhāge jo chhuḌā kar kabhī apnā dāman

    dum se pakḌā jaa.e

    hum kahen ya na kahen

    roz-e-raushan ki tarah

    dum ka afsana farozan hi raha hai ab tak

    kulbulati hui simab sifat aur subuk-rau wo dum

    kisi shair ke taKHayyul ki tarah banki si

    KHub sajti hai sag-e-laila par

    hae afsos wo dum

    jo ki nalki mein rahi qaid pareshan-o-zubun barah baras

    phir bhi nikli to wo TeDhi nikli

    kisi mahbub ke abru-e-KHamida ki tarah

    kisi shahnaz ke gesu-e-burida ki tarah

    but-e-tannaz ke ausaf-e-hamida ki tarah

    apne markaz ki taraf mail-e-parwaz hai dum

    dekh kar dum ki wo simab-sifat banki ada

    shair-e-waqt machal jata hai

    aur pahron wo KHalaon mein kahin

    ek begana tasawwur ki tarah aawara

    saikDon husn-o-mohabbat ke hasin naghmon ko

    kaT kar chhanT ke mehnat se banata hai sada

    hu-ba-hu dum ki tarah

    aur dum jab mere aasab pe chha jati hai

    hosh uD jate hain afkar badal jate hain

    saikDon tarah ke hanste hue dum-dar KHayal

    phir pareshan mujhe karte hain

    main taDap jata hun

    be-saKHta kah uThta hun

    teri jumbish se numayan hai zamin ki jumbish

    ai dum

    aalam-e-ghaiz mein dum jab bhi khaDi hoti hai

    kya qayamat ki ghaDi hoti hai

    kanp jata hai jahan

    hosh rustam ke bhi uD jate hain

    chaar jaanib se sada aati hai ai dum ai dum

    ab to nichi ho ja

    aur duniya-e-mohabbat pe kar ehsan ai dum

    yani mahbub ke pichhe lag ja

    taki dum-dar ye sadiyon ka sitamgar ho jae

    aur bhage jo chhuDa kar kabhi apna daman

    dum se pakDa jae

    Source:

    Deewar-e-Qehqaha (Pg. 80)

    • Author: Mohammad Yusuf Papa
      • Publisher: Nai Awaz Jamia Nagar, New Delhi
      • Year of Publication: 1982

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now