Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujassama

Ahmad Faraz

mujassama

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar

    kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai

    jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak

    kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai

    tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh

    jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne

    ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt

    bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā ne

    resha-e-sañg se khīñchī huī zulfeñ jaise

    rāste sīna-e-kohsār pe bal khāte haiñ

    abrūoñ jhukī mehrāboñ meñ jāmid palkeñ

    jis tarah tiir kamānoñ meñ ulajh jaate haiñ

    munjamid hoñToñ pe sannāToñ sañgīn tilism

    jaise nāyāb ḳhazānoñ pe kaḌe pahre hoñ

    tund jazbāt se bharpūr barahna siina

    jaise sustāne ko tūfān zarā Thahre hoñ

    jaise yūnān ke maġhrūr ḳhudā-vandoñ ne

    regzārān-e-habsh kisī shahzādī ko

    tishna rūhoñ ke havasnāk ta.ayyush ke liye

    hajla-e-sañg meñ pāband banā rakkhā ho

    ai siyah-fam hasina tera uryan paikar

    kitni pathrai hui aankhon mein ghaltida hai

    jaane kis daur-e-alama-nak se le kar ab tak

    tu kaDe waqt ke zindanon mein KHwabida hai

    tere sab rang hayule ke ye be-jaan nuqush

    jaise marbut KHayalat ke tane-bane

    ye teri sanwli rangat ye pareshan KHutut

    barha jaise miTaya ho inhen duniya ne

    resha-e-sang se khinchi hui zulfen jaise

    raste sina-e-kohsar pe bal khate hain

    abruon ki jhuki mehrabon mein jamid palken

    jis tarah tir kamanon mein ulajh jate hain

    munjamid honTon pe sannaTon ka sangin tilism

    jaise nayab KHazanon pe kaDe pahre hon

    tund jazbaat se bharpur barahna sina

    jaise sustane ko tufan zara Thahre hon

    jaise yunan ke maghrur KHuda-wandon ne

    regzaran-e-habsh ki kisi shahzadi ko

    tishna ruhon ke hawasnak tayyush ke liye

    hajla-e-sang mein paband bana rakkha ho

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 168)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now