Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse pahle

Ahmad Faraz

mujhse pahle

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    mujh se pahle tujhe jis shaḳhs ne chāhā us ne

    shāyad ab bhī tirā ġham dil se lagā rakkhā ho

    ek be-nām ummīd pe ab bhī shāyad

    apne ḳhvāboñ ke jazīroñ ko sajā rakkhā ho

    maiñ ne maanā ki vo begāna-e-paimān-e-vafā

    kho chukā hai jo kisī aur ra.anā.ī meñ

    shāyad ab lauT ke aa.e na tirī mahfil meñ

    aur koī dukh na rulā.e tujhe tanhā.ī meñ

    maiñ ne maanā ki shab o roz ke hañgāmoñ meñ

    vaqt har ġham ko bhulā detā hai rafta rafta

    chāhe ummīd sham.eñ hoñ ki yādoñ ke charāġh

    mustaqil bo.ad bujhā detā hai rafta rafta

    phir bhī maazī ḳhayāl aatā hai gāhe-gāhe

    muddateñ dard lau kam to nahīñ kar saktīñ

    zaḳhm bhar jaa.eñ magar daaġh to rah jaatā hai

    dūriyoñ se kabhī yādeñ to nahīñ mar saktīñ

    ye bhī mumkin hai ki ik din vo pashīmāñ ho kar

    tere paas aa.e zamāne se kinārā kar le

    ki ma.asūm bhī hai zūd-farāmosh bhī hai

    us paimāñ-shikanī ko bhī gavārā kar le

    aur maiñ jis ne tujhe apnā masīhā samjhā

    ek zaḳhm aur bhī pahle tarah sah jā.ūñ

    jis pe pahle bhī ka.ī ahd-e-vafā TuuTe haiñ

    isī do-rāhe pe chup-chāp khaḌā rah jā.ūñ

    mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaha us ne

    shayad ab bhi tera gham dil se laga rakkha ho

    ek be-nam si ummid pe ab bhi shayad

    apne KHwabon ke jaziron ko saja rakkha ho

    main ne mana ki wo begana-e-paiman-e-wafa

    kho chuka hai jo kisi aur ki ranai mein

    shayad ab lauT ke aae na teri mahfil mein

    aur koi dukh na rulae tujhe tanhai mein

    main ne mana ki shab o roz ke hangamon mein

    waqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta

    chahe ummid ki shamen hon ki yaadon ke charagh

    mustaqil boad bujha deta hai rafta rafta

    phir bhi mazi ka KHayal aata hai gahe-gahe

    muddaten dard ki lau kam to nahin kar saktin

    zaKHm bhar jaen magar dagh to rah jata hai

    duriyon se kabhi yaaden to nahin mar saktin

    ye bhi mumkin hai ki ek din wo pashiman ho kar

    tere pas aae zamane se kinara kar le

    tu ki masum bhi hai zud-faramosh bhi hai

    us ki paiman-shikani ko bhi gawara kar le

    aur main jis ne tujhe apna masiha samjha

    ek zaKHm aur bhi pahle ki tarah sah jaun

    jis pe pahle bhi kai ahd-e-wafa TuTe hain

    isi do-rahe pe chup-chap khaDa rah jaun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Aqib Sabir

    Aqib Sabir

    RECITATIONS

    Aqib Sabir

    Aqib Sabir,

    Aqib Sabir

    mujh se pahle Aqib Sabir

    Source:

    kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 351)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now