Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe jaana hai ek din

Asrarul Haq Majaz

mujhe jaana hai ek din

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī phir dard Tapkegā mirī āvāz se āḳhir

    abhī phir aag uTThegī shikasta saaz se āḳhir

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī to husn ke pairoñ pe hai jabr-e-hinā-bandī

    abhī hai ishq par ā.īn-e-farsūda pābandī

    abhī haavī hai aql o ruuh par jhūTī ḳhudāvandī

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī tahzīb-e-adl-o-haq kashtī khe nahīñ saktī

    abhī ye zindagī dād-e-sadāqat de nahīñ saktī

    abhī insāniyat daulat se Takkar le nahīñ saktī

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī to kā.enāt auhām ik kār-ḳhāna hai

    abhī dhokā haqīqat hai haqīqat ik fasāna hai

    abhī to zindagī ko zindagī kar ke dikhānā hai

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī haiñ shahr tārīk galiyāñ muntazir merī

    abhī hai ik hasīñ tahrīk-e-tūfāñ muntazir merī

    abhī shāyad hai ik zanjīr-e-zindāñ muntazir merī

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī to fāqa-kash insān se āñhkeñ milānā hai

    abhī jhulse hue chehroñ pe ashk-e-ḳhūñ bahānā hai

    abhī pāmāl-e-jaur aadam ko siine se lagānā hai

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    abhī har dushman-e-nazm-e-kuhan ke giit gaanā hai

    abhī har lashkar-e-zulmat-shikan ke giit gaanā hai

    abhī ḳhud sarfaroshān-e-vatan ke giit gaanā hai

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    koī dam meñ hayāt-e-nau phir parcham uThātā huuñ

    ba-īma-e-hamiyyat jaan baazī lagātā huuñ

    maiñ jā.ūñgā maiñ jā.ūñgā maiñ jaatā huuñ meñ jaatā huuñ

    mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi phir dard Tapkega meri aawaz se aaKHir

    abhi phir aag uTThegi shikasta saz se aaKHir

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi to husn ke pairon pe hai jabr-e-hina-bandi

    abhi hai ishq par aain-e-farsuda ki pabandi

    abhi hawi hai aql o ruh par jhuTi KHudawandi

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi tahzib-e-adl-o-haq ki kashti khe nahin sakti

    abhi ye zindagi dad-e-sadaqat de nahin sakti

    abhi insaniyat daulat se Takkar le nahin sakti

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi to kaenat auham ka ek kar-KHana hai

    abhi dhoka haqiqat hai haqiqat ek fasana hai

    abhi to zindagi ko zindagi kar ke dikhana hai

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi hain shahr ki tarik galiyan muntazir meri

    abhi hai ek hasin tahrik-e-tufan muntazir meri

    abhi shayad hai ek zanjir-e-zindan muntazir meri

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi to faqa-kash insan se aanhken milana hai

    abhi jhulse hue chehron pe ashk-e-KHun bahana hai

    abhi pamal-e-jaur aadam ko sine se lagana hai

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    abhi har dushman-e-nazm-e-kuhan ke git gana hai

    abhi har lashkar-e-zulmat-shikan ke git gana hai

    abhi KHud sarfaroshan-e-watan ke git gana hai

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    koi dam mein hayat-e-nau ka phir parcham uThata hun

    ba-ima-e-hamiyyat jaan ki bazi lagata hun

    main jaunga main jaunga main jata hun mein jata hun

    mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

    Source:

    Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 163)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now