Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munkir ka KHauf

Aftab Iqbal Shamim

munkir ka KHauf

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    purānā pāsbāñ zill-e-ilāhī

    jise chāhe kare mansab atā ālam-panāhī

    use tarkīb aatī hai

    kisī mazmūn-kohna ko nayā unvān dene

    vo dīda-var hamesha se muayyan hai

    hamāre rāste ke past-o-bālā par

    vo daanā apne mansūbe banātā hai

    hamārī fitratoñ ḳhaak zulmat se

    hamārī ḳhvāhish-e-takrār derīna aadat se

    vo ma.abad-e-sāz but-gar apnī hastī ke taqaddus meñ

    sadā mahfūz rakhtā hai

    hamāre ghar ko tahqīqī tajassus balāoñ se

    kahīñ auhām umda shabīhoñ meñ

    saqāfat ke nigāristāñ sajātā hai

    kahīñ ḳhush-fahmiyoñ ke isti.āre se

    hare lafzoñ ke bāġhīche khilātā hai

    kahīñ nok-e-sināñ ke ism o afsūñ se

    lahū buuñd meñ taslīm kirneñ jagātā hai

    qulūb ahl-e-zamīñ ke us muTThī meñ dhaḌakte haiñ

    shu.ūr us sadā māmūr rahtā hai

    hameñ achchhe bure ke falsafe aaḌ meñ

    ham se chhupāne par

    magar is mudāvā kyā

    ki vo parvardigār-e-zor-e-hikmat apnī nīndoñ meñ

    hamesha se

    vajūd-e-fard meñ ik muztarib shai se Dartā hai

    vo shai jis haqīqat

    vaqt iblīs us par faash kartā hai

    purana pasban zill-e-ilahi ka

    jise chahe kare mansab ata aalam-panahi ka

    use tarkib aati hai

    kisi mazmun-kohna ko naya unwan dene ki

    wo dida-war hamesha se muayyan hai

    hamare raste ke past-o-baala par

    wo dana apne mansube banata hai

    hamari fitraton ki KHak zulmat se

    hamari KHwahish-e-takrar ki derina aadat se

    wo mabad-e-saz but-gar apni hasti ke taqaddus mein

    sada mahfuz rakhta hai

    hamare ghar ko tahqiqi tajassus ki balaon se

    kahin auham ki umda shabihon mein

    saqafat ke nigaristan sajata hai

    kahin KHush-fahmiyon ke istiare se

    hare lafzon ke baghiche khilata hai

    kahin nok-e-sinan ke ism o afsun se

    lahu ki bund mein taslim ki kirnen jagata hai

    qulub ahl-e-zamin ke us ki muTThi mein dhaDakte hain

    shuur us ka sada mamur rahta hai

    hamein achchhe bure ke falsafe ki aaD mein

    hum se chhupane par

    magar is ka mudawa kya

    ki wo parwardigar-e-zor-e-hikmat apni nindon mein

    hamesha se

    wajud-e-fard mein ek muztarib si shai se Darta hai

    wo shai jis ki haqiqat

    waqt ka iblis us par fash karta hai

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 306)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now