aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-rasai

Meeraji

na-rasai

Meeraji

MORE BYMeeraji

    raat añdherī ban hai suunā koī nahīñ hai saath

    pavan jhakole peḌ hilā.eñ thar-thar kāñpeñ paat

    dil meñ Dar tiir chubhā hai siine par hai haath

    rah rah kar sochūñ yuuñ kaise puurī hogī raat

    barkhā-rut hai aur javānī lahroñ tūfān

    pītam hai nādān mirā dil rasmoñ se anjān

    koī nahīñ jo baat sujhā.e kaise hoñ sāmān

    bhagvan mujh ko raah dikhā de mujh ko de de gyaan

    chappū TuuTe naav purānī duur hai khevan-hār

    bairī haiñ naddī maujeñ aur pītam us paar

    sun le sun ke dukh meñ pukāre ik paremī bechārā

    kaise jā.ūñ kaise pahuñchūñ kaise jatā.ūñ pyaar

    kaise apne dil se miTā.ūñ birah agan rog

    kaise sujhā.ūñ prem pahelī kaise karūñ sanjog

    baat ghaḌiyāñ biit na jaa.eñ duur hai us des

    duur des hai pītam aur maiñ badle huuñ bhes

    raat andheri ban hai suna koi nahin hai sath

    pawan jhakole peD hilaen thar-thar kanpen pat

    dil mein Dar ka tir chubha hai sine par hai hath

    rah rah kar sochun yun kaise puri hogi raat

    barkha-rut hai aur jawani lahron ka tufan

    pitam hai nadan mera dil rasmon se anjaan

    koi nahin jo baat sujhae kaise hon saman

    bhagwan mujh ko rah dikha de mujh ko de de gyan

    chappu TuTe naw purani dur hai khewan-haar

    bairi hain naddi ki maujen aur pitam us par

    sun le sun ke dukh mein pukare ek paremi bechaara

    kaise jaun kaise pahunchun kaise jataun pyar

    kaise apne dil se miTaun birah agan ka rog

    kaise sujhaun prem paheli kaise karun sanjog

    baat ki ghaDiyan bit na jaen dur hai us ka des

    dur des hai pitam ka aur main badle hun bhes

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now