Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai nasl ki dua

Akhtar Amaan

nai nasl ki dua

Akhtar Amaan

MORE BYAkhtar Amaan

    mere ḳhvāboñ ta.abīr se bhī hasīñ

    mere ābā-o-ajdād sar-zamīñ

    mujh ko aise lagā

    jaise maiñ terā beTā nahīñ

    vo imārāt jo terī azmat ik zinda

    tasvīr thiiñ

    ab khañDar ban chukīñ

    har taraf ḳhāmushī aur makḌī ke jaale

    har ik shai pe barsoñ se kaa.ī tah jam chukī hai

    ajab ek pur huuñ ye samāñ hai

    kahīñ par na ab haiñ nishān paañv ke

    jahāñ se ka.ī qāfile manzileñ mārte

    na.e daur ke jo payāmī bane the

    magar ab vo raste

    zamāne uḌtī huī gard meñ dab chuke haiñ

    na ab ye fazā

    un ke ghoḌoñ Tāpoñ se gūñjtī hai

    sadā.eñ

    ḳhalāoñ ke andhe kuñ.eñ meñ

    kahīñ gum huī haiñ

    ki jaise mirā ab kisī shai se bhī koī rishta nahīñ hai

    maiñ un ke liye ajnabī huuñ

    vo mere liye ajnabī haiñ

    maiñ faqat haal ke ek bajre meñ baiThā

    samundar lahroñ

    havāoñ samtoñ ke rahm-o-karam par

    fazāoñ meñ goyā muallaq huā huuñ

    kahīñ duur tak paañv dharne ḳhātir zamīñ nahīñ hai

    ajab zindagī hai

    agarche huuñ zinda

    magar zinda rahne ḳhvāhish nahīñ hai

    ai zamīñ

    ai zamīñ

    mujh pe apne daraḳhshanda maazī ke darvāze kar

    mirī ḳhālī āñkheñ na.e ḳhvāb se bhar

    mujhe lazzat-e-hāl se āshnā kar

    mere KHwabon ki tabir se bhi hasin

    mere aaba-o-ajdad ki sar-zamin

    mujh ko aise laga

    jaise main tera beTa nahin

    wo imaraat jo teri azmat ki ek zinda

    taswir thin

    ab khanDar ban chukin

    har taraf KHamushi aur makDi ke jale

    har ek shai pe barson se kai ki tah jam chuki hai

    ajab ek pur hun sa ye saman hai

    kahin par na ab hain nishan panw ke

    jahan se kai qafile manzilen marte

    nae daur ke jo payami bane the

    magar ab wo raste

    zamane ki uDti hui gard mein dab chuke hain

    na ab ye faza

    un ke ghoDon ki Tapon se hi gunjti hai

    sadaen

    KHalaon ke andhe kunen mein

    kahin gum hui hain

    ki jaise mera ab kisi shai se bhi koi rishta nahin hai

    main un ke liye ajnabi hun

    wo mere liye ajnabi hain

    main faqat haal ke ek bajre mein baiTha

    samundar ki lahron

    hawaon ki samton ke rahm-o-karam par

    fazaon mein goya muallaq hua hun

    kahin dur tak panw dharne ki KHatir zamin hi nahin hai

    ajab zindagi hai

    agarche hun zinda

    magar zinda rahne ki KHwahish nahin hai

    ai zamin

    ai zamin

    mujh pe apne daraKHshanda mazi ke darwaze wa kar

    meri KHali aankhen nae KHwab se bhar

    mujhe lazzat-e-haal se aashna kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now