aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

najat

MORE BYAashufta Changezi

    nuzūl-e-itāb ghaḌī

    nazdīk hai…….

    darbārī kutte!

    rū-posh bāġhiyoñ talāsh meñ

    zamīneñ sūñghte phir rahe haiñ

    sarbarāhoñ quvvat-e-faislā javāb de chukī hai

    un ke maflūj haath

    darbāriyoñ ke rachā.e shaḌyantaroñ par

    kyuuñ dastaḳhat karne mashīneñ haiñ

    un zabāneñ sirf dhamkiyāñ boltī haiñ

    un ke anā-parast kaan

    giḌgiḌhaTeñ sunñe ke aadī ho chuke haiñ

    mushīroñ aur salāh-kāroñ daavā hai

    ki vo jald sarbarāhoñ ko

    dast-ḳhatoñ zahmat se bhī najāt dilāne rāsta DhūñD nikāleñge!

    nuzul-e-itab ki ghaDi

    nazdik hai……

    darbari kutte!

    ru-posh baghiyon ki talash mein

    zaminen sunghte phir rahe hain

    sarbarahon ki quwwat-e-faisla jawab de chuki hai

    un ke mafluj hath

    darbariyon ke rachae shaDyantaron par

    kyun dastaKHat karne ki mashinen hain

    un ki zabanen sirf dhamkiyan bolti hain

    un ke ana-parast kan

    giDgiDhaTen sunne ke aadi ho chuke hain

    mushiron aur salah-karon ka dawa hai

    ki wo jald hi sarbarahon ko

    dast-KHaton ki zahmat se bhi najat dilane ka rasta DhunD nikalenge!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now