Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya husn

Kaifi Azmi

naya husn

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    kitnī rañgīñ hai fazā kitnī hasīñ hai duniyā

    kitnā sarshār hai zauq-e-chaman-ārā.ī aaj

    is salīqe se sajā.ī ga.ī bazm-e-gītī

    bhī dīvār-e-ajantā se utar aa.ī aaj

    rū-numā.ī ye saa.at ye tahī-dastī-e-shauq

    na churā saktā huuñ āñkheñ na milā saktā huuñ

    pyaar sauġhāt, vafā nazr, mohabbat tohfa

    yahī daulat tire qadmoñ pe luTā saktā huuñ

    kab se taḳh.īl meñ larzāñ thā ye nāzuk paikar

    kab se ḳhvāboñ meñ machaltī thī javānī terī

    mere afsāne unvān banī jaatī hai

    Dhal ke sāñche meñ haqīqat ke kahānī terī

    marhale jhel ke nikhrā hai mazāq-e-taḳhlīq

    sa.ī-e-paiham ne diye haiñ ye ḳhad-o-ḳhāl tujhe

    zindagī chaltī rahī kāñToñ pe, añgāroñ par

    jab milī itnī hasīñ, itnī subuk chaal tujhe

    tere qāmat meñ hai insāñ bulandī vaqār

    duḳhatar-e-shahr hai, tahzīb shahkār hai

    ab na jhapkegī palak, ab na haTeñgī nazreñ

    husn mere liye āḳhirī me.aar hai

    ye tirā paikar-e-sīmīñ, ye gulābī saarī

    dast-e-mehnat ne shafaq ban ke uḌhā tujh ko

    jis se mahrūm hai fitrat jamāl-e-rañgīñ

    tarbiyat ne vo latāfat bhī sikhā tujh ko

    āgahī ne tirī bātoñ meñ khilāīñ kaliyāñ

    ilm ne shakkarīñ lahje meñ nichoḌe añgūr

    dilrubā.ī ye andāz kise aatā thā

    hai jis saañs meñ nazdīk usī saañs meñ duur

    ye latāfat, ye nazākat, ye hayā, ye shoḳhī

    sau diye julte haiñ umDī huī zulmat ke ḳhilāf

    lab-e-shādāb pe chhalkī huī gulnār hañsī

    ik baġhāvat hai ye ā.īn-e-jarāhat ke ḳhilāf

    hausle jaag uThe soz-e-yaqīñ jaag uThā

    nigah-e-nāz ke be-nām ishāroñ ko salām

    jahāñ rahtī hai us arz-e-hasīñ par sajda

    jin meñ miltī hai un rāh-guzāroñ ko salām

    aa qarīb aa ki ye juuḌā maiñ pareshāñ kar duuñ

    tishna-kāmī ko ghaTāoñ payām aa jaa.e

    jis ke māthe se ubhartī haiñ hazāroñ sub.heñ

    mirī duniyā meñ bhī aisī koī shaam aa jaa.e

    kitni rangin hai faza kitni hasin hai duniya

    kitna sarshaar hai zauq-e-chaman-arai aaj

    is saliqe se sajai gai bazm-e-giti

    tu bhi diwar-e-ajanta se utar aai aaj

    ru-numai ki ye saat ye tahi-dasti-e-shauq

    na chura sakta hun aankhen na mila sakta hun

    pyar saughat, wafa nazr, mohabbat tohfa

    yahi daulat tere qadmon pe luTa sakta hun

    kab se taKHil mein larzan tha ye nazuk paikar

    kab se KHwabon mein machalti thi jawani teri

    mere afsane ka unwan bani jati hai

    Dhal ke sanche mein haqiqat ke kahani teri

    marhale jhel ke nikhra hai mazaq-e-taKHliq

    sai-e-paiham ne diye hain ye KHad-o-KHal tujhe

    zindagi chalti rahi kanTon pe, angaron par

    jab mili itni hasin, itni subuk chaal tujhe

    tere qamat mein hai insan ki bulandi ka waqar

    duKHatar-e-shahr hai, tahzib ka shahkar hai tu

    ab na jhapkegi palak, ab na haTengi nazren

    husn ka mere liye aaKHiri mear hai tu

    ye tera paikar-e-simin, ye gulabi sari

    dast-e-mehnat ne shafaq ban ke uDha di tujh ko

    jis se mahrum hai fitrat ka jamal-e-rangin

    tarbiyat ne wo latafat bhi sikha di tujh ko

    aagahi ne teri baaton mein khilain kaliyan

    ilm ne shakkarin lahje mein nichoDe angur

    dilrubai ka ye andaz kise aata tha

    tu hai jis sans mein nazdik usi sans mein dur

    ye latafat, ye nazakat, ye haya, ye shoKHi

    sau diye julte hain umDi hui zulmat ke KHilaf

    lab-e-shadab pe chhalki hui gulnar hansi

    ek baghawat hai ye aain-e-jarahat ke KHilaf

    hausle jag uThe soz-e-yaqin jag uTha

    nigah-e-naz ke be-nam ishaaron ko salam

    tu jahan rahti hai us arz-e-hasin par sajda

    jin mein tu milti hai un rah-guzaron ko salam

    aa qarib aa ki ye juDa main pareshan kar dun

    tishna-kaami ko ghaTaon ka payam aa jae

    jis ke mathe se ubharti hain hazaron subhen

    meri duniya mein bhi aisi koi sham aa jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now