Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYShabnam Ashai

    bahut dinoñ se

    vo merī tauhīn ke bahāne

    DhūñD rahā thā

    be-lihāz be-muravvat

    dūsroñ zillat

    us ke jiine javāz

    har ta.alluq ke tasme khol kar

    pheñk denā

    us mizāj

    us āvāz yaḳh havā se

    jaane kaun kaun zaḳhmī hai

    merī ḳhāmoshī

    us āvāz ko jitnī baar chhūtī

    us julāpā aur baḌh jaatā

    phir na kisī safar dhuup

    na thakan masāfatoñ kaam aatī

    kal vo kuchh ziyāda haañp rahā thā

    us yaḳh āvāz ke nashtar

    merī ḳhāmoshī par lage

    vo TuuT ga.ī

    daf.atan

    merī uñgliyāñ

    billī ke panjoñ jaisī ho ga.iiñ

    yaad nahīñ

    maiñ us par jhapTī ḳhud par

    abhī maiñ ne ā.īna nahīñ dekhā

    bahut dinon se

    wo meri tauhin ke bahane

    DhunD raha tha

    be-lihaz be-murawwat

    dusron ki zillat

    us ke jine ka jawaz

    har talluq ke tasme khol kar

    phenk dena

    us ka mizaj

    us ki aawaz ki yaKH hawa se

    jaane kaun kaun zaKHmi hai

    meri KHamoshi

    us ki aawaz ko jitni bar chhuti

    us ka julapa aur baDh jata

    phir na kisi safar ki dhup

    na thakan masafaton ki kaam aati

    kal wo kuchh ziyaada hi hanp raha tha

    us ki yaKH aawaz ke nashtar

    meri KHamoshi par lage

    wo TuT gai

    dafatan

    meri ungliyan

    billi ke panjon jaisi ho gain

    yaad nahin

    main us par jhapTi ya KHud par

    abhi main ne aaina nahin dekha

    Source:

    Man Baani (Pg. 72)

    • Author: Dr. Shabnam Ashai
      • Edition: 2002
      • Publisher: Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now