Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi

Shaz Tamkanat

ajnabi

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    ab ye ehsās dam-e-fikr-e-suḳhan hone lagā

    apnī nazmoñ bhūlā huā kirdār huuñ maiñ

    maiñ musāfir huuñ bayābān-e-farāmoshī

    apne naqsh-e-kaf-e-pā se bhī shanāsā.ī nahīñ

    tā-ba-pahanā-e-nazar ret ke Tīloñ sukūt

    apnā saaya bhī yahāñ monis-e-tanhā.ī nahīñ

    tiir ban kar koī sannāTe ke dil meñ utre

    kisī māyūs parinde sadā-e-tanhā

    zaḳhmī āhū-e-ramīda adā-e-tanhā

    kaash pal bhar ko utar aatā ḳhudā-e-tanhā

    maiñ kisī āzar-e-gumnām but huuñ shāyad

    jis qismat meñ koī chashm-e-tamāshā.ī nahīñ

    izn-e-fariyād nahīñ ruḳhsat-e-goyā.ī nahīñ

    duur us paar shafaq rañg guphāoñ se pare

    zer-e-mehrāb-e-falak qāfila-e-umr-e-ravāñ

    taan uḌāte hue sarmast o javāñ guzrā thā

    mah-nishāñ najm-chakāñ mehr-ināñ guzrā thā

    ḳhuuñ rulātā hai subuk-gāmi-e-mahmil samāñ

    ab bhī kauñdā lapaktā hai ghaTāoñ se pare

    maiñ bhī us vaqt sar-e-rāh thā hairāñ hairāñ

    pā-barahna nazar-āvāra tan-afgār ḳhamosh

    dard se mohr-ba-lab sūrat-e-dīvār ḳhamosh

    ḳhalish-e-hasrat-e-jāñ thī ki koī pahchāne

    sham.a dil ke nihāñ-ḳhāne meñ larzāñ larzāñ

    mujh pe kyā biit ga.ī kaun sune kyā jaane

    chashm-e-ḳhūñ-basta ko aaseb māman samjhā

    qāfile vāloñ ne shāyad mujhe rahzan samjhā

    ab ye ehsas dam-e-fikr-e-suKHan hone laga

    apni hi nazmon ka bhula hua kirdar hun main

    main musafir hun bayaban-e-faramoshi ka

    apne naqsh-e-kaf-e-pa se bhi shanasai nahin

    ta-ba-pahana-e-nazar ret ke Tilon ka sukut

    apna saya bhi yahan monis-e-tanhai nahin

    tir ban kar koi sannaTe ke dil mein utre

    kisi mayus parinde ki sada-e-tanha

    zaKHmi aahu-e-ramida ki ada-e-tanha

    kash pal bhar ko utar aata KHuda-e-tanha

    main kisi aazar-e-gumnam ka but hun shayad

    jis ki qismat mein koi chashm-e-tamashai nahin

    izn-e-fariyaad nahin ruKHsat-e-goyai nahin

    dur us par shafaq rang guphaon se pare

    zer-e-mehrab-e-falak qafila-e-umr-e-rawan

    tan uDate hue sarmast o jawan guzra tha

    mah-nishan najm-chakan mehr-inan guzra tha

    KHun rulata hai subuk-gami-e-mahmil ka saman

    ab bhi kaunda sa lapakta hai ghaTaon se pare

    main bhi us waqt sar-e-rah tha hairan hairan

    pa-barahna nazar-awara tan-afgar KHamosh

    dard se mohr-ba-lab surat-e-diwar KHamosh

    KHalish-e-hasrat-e-jaan thi ki koi pahchane

    shama si dil ke nihan-KHane mein larzan larzan

    mujh pe kya bit gai kaun sune kya jaane

    chashm-e-KHun-basta ko aaseb ka maman samjha

    qafile walon ne shayad mujhe rahzan samjha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Ajnabi - Shaaz Tamkanat Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now